KHuda-hafiz
bahut muddat tumheñ DhūñDā thā sahrāoñ meñ ham ne gard hone tak
agar tum pūchh hī lete mire chehre se saarī hijratoñ kī dhuul haT jaatī
tumhāre vasl kī chhāñv jo miltī dhuup chhaT jaatī
agar tum chāhte do-chār din to ham bhī jī lete
agar tum sun hī lete hāl-e-dil to chain mil jaatā
ḳhizāñ-rut meñ 'kañval' āñgan meñ koī phuul khil jaatā
sunā hai ki du'āoñ se badal jaatī haiñ taqdīreñ
jise māñgā du'āoñ meñ agar vo mujh ko mil jaatā
chalo koī nahīñ ummīd kā dāman nahīñ chhoḌo
jahāñ se ḳhvāb TuuTā thā vahīñ se niiñd ko joḌo
use kahnā mujhe sapne meñ phir milnā ḳhudā-hāfiz
ye barsoñ kā ta'alluq tark mat karnā ḳhudā-hāfiz
use kahnā maiñ apne hoñT sī kar phir milūñgī haañ
use kahnā maiñ saare ashk pī kar phir milūñgī haañ
bahut muddat tumhein DhunDa tha sahraon mein hum ne gard hone tak
agar tum puchh hi lete mere chehre se sari hijraton ki dhul haT jati
tumhaare wasl ki chhanw jo milti dhup chhaT jati
agar tum chahte do-chaar din to hum bhi ji lete
agar tum sun hi lete haal-e-dil to chain mil jata
KHizan-rut mein 'kanwal' aangan mein koi phul khil jata
suna hai ki du'aon se badal jati hain taqdiren
jise manga du'aon mein agar wo mujh ko mil jata
chalo koi nahin ummid ka daman nahin chhoDo
jahan se KHwab TuTa tha wahin se nind ko joDo
use kahna mujhe sapne mein phir milna KHuda-hafiz
ye barson ka ta'alluq tark mat karna KHuda-hafiz
use kahna main apne honT si kar phir milungi han
use kahna main sare ashk pi kar phir milungi han
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.