Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda zamin par kab aaega

Sidra Afzal

KHuda zamin par kab aaega

Sidra Afzal

MORE BYSidra Afzal

    kā.enāt jis bāgeñ

    kisī hādse ke haath meñ de kar

    ḳhudā-vand-e-karīm ibādateñ baTor rahā hai

    kyā use sirf yahī ġharaz hai

    ki vo pahchānā jaa.e

    us ke hone

    kuchh aur bhī haqīqat hai

    is mulk meñ jahāñ ba-zāhir āzādī hai

    ġhulāmī ke tauq pahne hue eḌiyāñ ragaḌtī dil masostī jāñ-ba-lab zindagī

    umr tavīl safar tai karne kahāñ jā.egī

    kyā koī aur zindagī-baḳhsh sayyāra daryāft ho chukā hai

    kyā koī aur zamīn DhūñD ga.ī hai

    itnī baḌī duniyā meñ kyā chhoTe-pan ko dafn karne koī jagah baaqī nahīñ

    kyā samundaroñ ne iqrār kar liyā hai ki vo murdār nigleñge

    aur kashtiyoñ ko bandar-gāhoñ ke kināroñ par pahuñchā kar qazzāqoñ ke havāle kar deñge

    aañkh jab patthar barsāne lagegī to āñsū-bhar ḳhajālat

    māthe se numūdār ho kar apne hone ehsās dilā.eñ ge

    is āzād mulk meñ jahāñ ġhulāmī ke tauq pahne

    eḌiyāñ ragaḌtī dil masostī jāñ-ba-lab zindagī intizār meñ hai

    ki ibādateñ baTortā ḳhudā kā.enāt sīḌhiyoñ tak to aa.e

    kaenat jis ki bagen

    kisi hadse ke hath mein de kar

    KHuda-wand-e-karim ibaadaten baTor raha hai

    kya use sirf yahi gharaz hai

    ki wo pahchana jae ya

    us ke hone ki

    kuchh aur bhi haqiqat hai

    is mulk mein jahan ba-zahir aazadi hai

    ghulami ke tauq pahne hue eDiyan ragaDti dil masosti jaan-ba-lab zindagi

    umr ka tawil safar tai karne kahan jaegi

    kya koi aur zindagi-baKHsh sayyara daryaft ho chuka hai

    kya koi aur zamin DhunD li gai hai

    itni baDi duniya mein kya chhoTe-pan ko dafn karne ki koi jagah baqi nahin

    kya samundaron ne iqrar kar liya hai ki wo murdar niglenge

    aur kashtiyon ko bandar-gahon ke kinaron par pahuncha kar qazzaqon ke hawale kar denge

    aankh jab patthar barsane lagegi to aansu-bhar KHajalat

    mathe se numudar ho kar apne hone ka ehsas dilaen ge

    is aazad mulk mein jahan ghulami ke tauq pahne

    eDiyan ragaDti dil masosti jaan-ba-lab zindagi intizar mein hai

    ki ibaadaten baTorta KHuda kaenat ki siDhiyon tak to aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now