Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab

MORE BYMuslim Shameem

    ḳhvāb fan sarmāya ḳhvāb fan pūñjī hai

    ḳhvāb mujh se mat chhīno

    ḳhvāb dekhne do mujhe ḳhvāb bāñTne do mujhe

    kufr rad kiyā maiñ ne raushnī ko diiñ jaanā

    ahrman ke beToñ ko maiñ ne ahrman jaanā

    un ko sar-nigūñ dekhā bārgāh-e-yazdāñ meñ

    āftāb-dāman meñ māhtāb-jeboñ meñ

    maiñ ne bhar liye kitne

    tīrgī miTāne ko zindagī rāhoñ se

    maañg maiñ ne dhartī rañg-o-nūr se bhar

    kahkashāñ chādar se Dhak diyā badan us

    chār-sū dhanak phūTī chār-sū shafaq phūlī

    āftāb dāman meñ

    māhtāb-jeboñ meñ merī jagmagāne do

    ḳhvāb merī pūñjī hai ḳhvāb merā sarmāyā

    ḳhvāb mujh se mat chhīno

    ḳhvāb mujh se mat chhīno

    KHwab fan ka sarmaya KHwab fan ki punji hai

    KHwab mujh se mat chhino

    KHwab dekhne do mujhe KHwab banTne do mujhe

    kufr rad kiya main ne raushni ko din jaana

    ahrman ke beTon ko main ne ahrman jaana

    un ko sar-nigun dekha bargah-e-yazdan mein

    aaftab-daman mein mahtab-jebon mein

    main ne bhar liye kitne

    tirgi miTane ko zindagi ki rahon se

    mang main ne dharti ki rang-o-nur se bhar di

    kahkashan ki chadar se Dhak diya badan us ka

    chaar-su dhanak phuTi chaar-su shafaq phuli

    aaftab daman mein

    mahtab-jebon mein meri jagmagane do

    KHwab meri punji hai KHwab mera sarmaya

    KHwab mujh se mat chhino

    KHwab mujh se mat chhino

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 227)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now