Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kirnon ki shahzadi

Ahmad Wasi

kirnon ki shahzadi

Ahmad Wasi

MORE BYAhmad Wasi

    nīl-gagan ke sāgar meñ ye chāñd kashtī Dol rahī hai

    jaise ek sunahrī titlī uḌne ko par taul rahī hai

    log ye kahte haiñ kashtī meñ chāñd buḌhiyā hotī hai

    rātoñ ko jaagā kartī hai aur din bhar vo sotī hai

    lekin maiñ ne ye bhī sunā hai chāñd meñ ik ābādī hai

    is kashtī ko khene vaalī kirnoñ shahzādī hai

    ye shahzādī añdhiyāre raaj miTāne aatī hai

    raat ke dar tak ujiyāre diip jalāne aatī hai

    ye shahzādī sub.h ko nazroñ se ojhal ho jaatī hai

    aur kisī gumnām jazīre meñ kar so jaatī hai

    maiñ bistar par chup leTā huuñ raat jahāñ se bhaag rahī hai

    kirnoñ shahzādī lekin sub.h fikr meñ jaag rahī hai

    nil-gagan ke sagar mein ye chand ki kashti Dol rahi hai

    jaise ek sunahri titli uDne ko par taul rahi hai

    log ye kahte hain kashti mein chand ki buDhiya hoti hai

    raaton ko jaga karti hai aur din bhar wo soti hai

    lekin main ne ye bhi suna hai chand mein ek aabaadi hai

    is kashti ko khene wali kirnon ki shahzadi hai

    ye shahzadi andhiyare ka raj miTane aati hai

    raat ke dar tak ujiyare ka dip jalane aati hai

    ye shahzadi subh ko nazron se ojhal ho jati hai

    aur kisi gumnam jazire mein ja kar so jati hai

    main bistar par chup leTa hun raat jahan se bhag rahi hai

    kirnon ki shahzadi lekin subh ki fikr mein jag rahi hai

    Source:

    Khilauna,New Delhi (Pg. 10)

      • Publisher: Mohammad Yunus Dehlavi
      • Year of Publication: 1963

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now