kishmish
fiber se bharpūr hai kishmish
sustī kartī duur hai kishmish
nazar ko behtar kar detī hai
jism ko gosht se bhar detī hai
ḳhushk hoñ jab angūr hai bantī
kaafī 'arsa hai phir chaltī
rangat is kī sabz sunahrī
kahīñ dikhe ye bhūrī gahrī
thoḌī sī rozāna khaao
fā.eda is kā phir tum paao
daliye meñ yā halve andar
dekho is ke jalve andar
tez buḳhār ko halkā kar de
jism meñ fauran chustī bhar de
motī jaise daañt hoñ is se
saaf hamārī aañt ho is se
kamī lahū kī duur kare to
kaam meñ ye majbūr kare to
shab bhar paanī meñ ye Daalo
sub.h savere is ko khā lo
fiber se bharpur hai kishmish
susti karti dur hai kishmish
nazar ko behtar kar deti hai
jism ko gosht se bhar deti hai
KHushk hon jab angur hai banti
kafi 'arsa hai phir chalti
rangat is ki sabz sunahri
kahin dikhe ye bhuri gahri
thoDi si rozana khao
faeda is ka phir tum pao
daliye mein ya halwe andar
dekho is ke jalwe andar
tez buKHar ko halka kar de
jism mein fauran chusti bhar de
moti jaise dant hon is se
saf hamari aant ho is se
kami lahu ki dur kare to
kaam mein ye majbur kare to
shab bhar pani mein ye Dalo
subh sawere is ko kha lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.