Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke samajhdar hone tak

Shariq Kaifi

kisi ke samajhdar hone tak

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    qabr kyā DhūñDnā

    miT ga.e hoñge us ke nishāñ

    kahīñ bhī jalā kar lagā duuñ agarbattiyāñ

    muddatoñ baa'd bhī

    vird karte hue sūra-e-fātiha vahī guuñj kānoñ meñ hai

    tirā baap kyā roz piitā hai

    uf

    vo jo sharmindagī sabab ho bhalā us se kaisī mohabbat

    aur vaise bhī

    ek bachche nafrat se sachchā koī aur jazba nahīñ

    dafn ke vaqt bhī to maiñ dil meñ kahīñ un se nārāz thā

    magar aaj ḳhud jab maiñ us 'umr meñ huuñ

    jo paapā shāyad rahī hogī tab

    jab maiñ rūThā thā un se

    mire dil meñ ehsās-e-jurm aur sharmindagī ke sivā kuchh nahīñ

    aap sun to rahe haiñ na paapā

    mu'āfī mujhe chāhiye

    kyā ye mumkin hai

    phir ḳhud se kahtā huuñ shāyad nahīñ

    vo ga.e

    koī ruktā nahīñ hai kisī ke samajhdār hone talak

    sach tah meñ utarne ke laa.iq gunahgār hone talak

    qabr kya DhunDna

    miT gae honge us ke nishan

    kahin bhi jala kar laga dun agarbattiyan

    muddaton ba'd bhi

    wird karte hue sura-e-fatiha ka wahi gunj kanon mein hai

    tera bap kya roz pita hai

    uf

    wo jo sharmindagi ka sabab ho bhala us se kaisi mohabbat

    aur waise bhi

    ek bachche ki nafrat se sachcha koi aur jazba nahin

    dafn ke waqt bhi to main dil mein kahin un se naraaz tha

    magar aaj KHud jab main us 'umr mein hun

    jo papa ki shayad rahi hogi tab

    jab main ruTha tha un se

    mere dil mein ehsas-e-jurm aur sharmindagi ke siwa kuchh nahin

    aap sun to rahe hain na papa

    mu'afi mujhe chahiye

    kya ye mumkin hai

    phir KHud se kahta hun shayad nahin

    wo gae

    koi rukta nahin hai kisi ke samajhdar hone talak

    sach ki tah mein utarne ke laiq gunahgar hone talak

    Source:

    Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 121)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now