kunwara aangan
sukūt-e-shab
kahīñ vīrāniyāñ
jaadū kahīñ Tonā
kahīñ pīpal tale rahtā hai koī bhuut kā saaya
har ik aahaT pe kyoñ hotā gumāñ
koī magar aayā
añdhere meñ huī jumbish
ye karvaT kis ke lene kī
khanaktī chūḌiyāñ
pāzeb ghuñghrū
kis ke bajne kī
kahāñ se aa.ī ye jhankār
kis kī ye sadā aa.ī
ye kis ke ghar se uḌ kar mere āñgan meñ
ridā aa.ī
ye aayā kaun hai
dekho chaman meñ
sehn-e-gulshan meñ
ki billī kuud kar baiThī hai koī
ghar ke bartan meñ
koī aayā hai
dekho
koī aayā hai muñDeroñ se
koī aane ko hai uTh kar añdhere muñh
saveroñ se
koī ik ḳhauf an-jānā samāyā hai
har ik tan meñ
kahāñ sumitā hai
dekho
phūlvantī hai kahāñ soī
koī āvāz ik bīmār uTThī ghar ke āñgan meñ
uThā sukhrām lañgḌātā huā
lekin kahāñ dekhe
añdherā har taraf
jaa.e kahāñ
DhūñDe
kahāñ pūchhe
na bijlī hai
na baatī hai
na jaltā hai diyā koī
nigoḌā chāñd bhī hai jā ke soyā duur bastī meñ
uThā sukhrām lekin us ko Dar thā
vo kidhar jaa.e
añdhere meñ ye sar us kā muñDeroñ se na Takrā.e
sukut-e-shab
kahin viraniyan
jadu kahin Tona
kahin pipal tale rahta hai koi bhut ka saya
har ek aahaT pe kyon hota guman
koi magar aaya
andhere mein hui jumbish
ye karwaT kis ke lene ki
khanakti chuDiyan
pazeb ghunghru
kis ke bajne ki
kahan se aai ye jhankar
kis ki ye sada aai
ye kis ke ghar se uD kar mere aangan mein
rida aai
ye aaya kaun hai
dekho chaman mein
sehn-e-gulshan mein
ki billi kud kar baiThi hai koi
ghar ke bartan mein
koi aaya hai
dekho
koi aaya hai munDeron se
koi aane ko hai uTh kar andhere munh
saweron se
koi ek KHauf an-jaana samaya hai
har ek tan mein
kahan sumita hai
dekho
phulwanti hai kahan soi
koi aawaz ek bimar uTThi ghar ke aangan mein
uTha sukhram langData hua
lekin kahan dekhe
andhera har taraf
jae kahan
DhunDe
kahan puchhe
na bijli hai
na baati hai
na jalta hai diya koi
nigoDa chand bhi hai ja ke soya dur basti mein
uTha sukhram lekin us ko Dar tha
wo kidhar jae
andhere mein ye sar us ka munDeron se na Takrae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.