aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha-e-ruKHsat

Makhdoom Mohiuddin

lamha-e-ruKHsat

Makhdoom Mohiuddin

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    kuchh sunñe ḳhvāhish kānoñ ko kuchh kahne armāñ ā.ankhoñ meñ

    gardan meñ hamā.il hone betāb tamannā bāñhoñ meñ

    mushtāq nigāhoñ zad se nazroñ hayā se jhuk jaanā

    ik shauq-e-ham-āġhoshī pinhāñ in nīchī bhīgī palkoñ meñ

    shāne pe pareshāñ hone ko bechain siyah kākul ghaTā

    vārafta nigāhoñ se paidā hai ek adā-e-zuleḳhā.ī

    andāz-e-taġhāful tevar se rusvā.ī sāmāñ ā.ankhoñ meñ

    furqat bhayānak rātoñ rañgīn tasavvur meñ aanā

    ifshā-e-haqīqat ke Dar se hañs dene koshish hoñToñ meñ

    aañsū Dhalak kar rah jaanā ḳhūñ-gashta diloñ nazrāna

    takmīl-e-vafā afsāna kah jaanā ā.ankhoñ ā.ankhoñ meñ

    kuchh sunne ki KHwahish kanon ko kuchh kahne ka arman aaankhon mein

    gardan mein hamail hone ki betab tamanna banhon mein

    mushtaq nigahon ki zad se nazron ka haya se jhuk jaana

    ek shauq-e-ham-aghoshi pinhan in nichi bhigi palkon mein

    shane pe pareshan hone ko bechain siyah kakul ki ghaTa

    warafta nigahon se paida hai ek ada-e-zuleKHai

    andaz-e-taghaful tewar se ruswai ka saman aaankhon mein

    furqat ki bhayanak raaton ka rangin tasawwur mein aana

    ifsha-e-haqiqat ke Dar se hans dene ki koshish honTon mein

    aansu ka Dhalak kar rah jaana KHun-gashta dilon ka nazrana

    takmil-e-wafa ka afsana kah jaana aaankhon aaankhon mein

    Source:

    Bisat-e-Raqs (Pg. 42)

    • Author: Makhdoom Mohiuddin
      • Edition: 1986
      • Publisher: Urdu Academy, Hyderabad
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now