lock down
jahāñ kī raunaqeñ dekho
ye dekho kūcha-o-bāzār bhī saare
paḌe haiñ aaj aise kuchh
ki jaise koī majnūñ yā
divāna aur pāgal shaḳhs
kisī lailā kī chāhat meñ
luTā kar aur gañvā kar sab
yahāñ tak ki
matā'-e-dil matā'-e-jāñ
paḌā ho ret par tanhā
kisī tapte hue sahrā kī bāhoñ meñ
jahāñ kī raunaqeñ dekho
jahan ki raunaqen dekho
ye dekho kucha-o-bazar bhi sare
paDe hain aaj aise kuchh
ki jaise koi majnun ya
diwana aur pagal shaKHs
kisi laila ki chahat mein
luTa kar aur ganwa kar sab
yahan tak ki
mata'-e-dil mata'-e-jaan
paDa ho ret par tanha
kisi tapte hue sahra ki bahon mein
jahan ki raunaqen dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.