Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

london ki ek sham

Mohammad Deen Taseer

london ki ek sham

Mohammad Deen Taseer

MORE BYMohammad Deen Taseer

    ye rahguzar

    ye zan o mard hujūm ye shaam

    farāz-e-koh se jis tarah naddiyāñ sar par

    liye hue shafaq-ālūd barf ke paikar

    safed jhiil āġhosh meñ simaT jaa.eñ

    ye tund-gām subuk-sair kārvān-e-hayāt

    ''na ibtidā ḳhabar hai na intihā ma.alūm''

    kidhar se aa.e kidhar rahe haiñ kyā ma.alūm

    sunahrī shaam

    ye 'e-rose' jhilmilātā huā

    bañdhā huā hai nishāna khiñchī huī hai kamāñ

    kise ye tiir lagegā

    kahāñ? yahāñ ki vahāñ!

    nazar nazar se milī dil kaam ḳhatm huā

    sunahrī shaam

    ye 'erose' jagmagātā hai

    koī hañse koī ro.e ye muskurātā hai

    isī maqām pe phir lauT kar meñ aayā huuñ

    ye rahguzar ye zan o mard hujūm ye shaam

    ye tund-sair subuk-gām kārvān-e-hayāt

    ye josh-e-rañg ye Tuġhyān-e-husn ke jalve

    yahīñ ke nuur se raushan mirī nigāheñ haiñ

    mire shabāb roñdī huī ye rāheñ haiñ

    vahī maqām hai lekin vahī maqām nahīñ

    ye shaam to hai magar vo sunahrī shaam nahīñ

    vo ro.ab-dāb nahīñ hai

    vo dhūm-dhām nahīñ

    vo maiñ nahīñ huuñ

    ki un maiñ ab ġhulām nahīñ

    sanam-kadoñ meñ ujāle nahīñ rahe ki jo the

    ki ab vo dekhne vaale nahīñ rahe ki jo the

    ye rahguzar

    ye zan o mard ka hujum ye sham

    faraaz-e-koh se jis tarah naddiyan sar par

    liye hue shafaq-alud barf ke paikar

    safed jhil ki aaghosh mein simaT jaen

    ye tund-gam subuk-sair karwan-e-hayat

    na ibtida ki KHabar hai na intiha malum

    kidhar se aae kidhar ja rahe hain kya malum

    sunahri sham

    ye 'e-rose' jhilmilata hua

    bandha hua hai nishana khinchi hui hai kaman

    kise ye tir lagega

    kahan? yahan ki wahan!

    nazar nazar se mili dil ka kaam KHatm hua

    sunahri sham

    ye 'erose' jagmagata hai

    koi hanse koi roe ye muskuraata hai

    isi maqam pe phir lauT kar mein aaya hun

    ye rahguzar ye zan o mard ka hujum ye sham

    ye tund-sair subuk-gam karwan-e-hayat

    ye josh-e-rang ye Tughyan-e-husn ke jalwe

    yahin ke nur se raushan meri nigahen hain

    mere shabab ki rondi hui ye rahen hain

    wahi maqam hai lekin wahi maqam nahin

    ye sham to hai magar wo sunahri sham nahin

    wo roab-dab nahin hai

    wo dhum-dham nahin

    wo main nahin hun

    ki un ka main ab ghulam nahin

    sanam-kadon mein ujale nahin rahe ki jo the

    ki ab wo dekhne wale nahin rahe ki jo the

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 25)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now