man ka hona
ghuTnoñ kī piiḌā meñ jaag ke sone vaalī maañ
insulin kī golī se ḳhush hone vaalī maañ
silvaTī hāthoñ se kapḌoñ ko dhone vaalī maañ
paapā kī ik DaañT se ghuT kar rone vaalī maañ
bachchoñ se chhup chhup kar ronā kaisā hotā hai
maañ ho tum aur maañ kā honā aisā hotā hai
paapā kī intelligency tum par bhārī hai
lekin tum ne prem kī gañgā ghar meñ utārī hai
bāñdhnā ghar ko ek dhāge meñ kitnā bhārī hai
is meñ tumhārī sarf tumhārī hī hoshiyārī hai
tum ko hai ma.alūm pironā kaisā hotā hai
maañ ho tum aur maañ kā honā aisā hotā hai
dakiyānūsī kah kar biTiyā tum par hañstī hai
tum ko nahīñ ma.alūm kī phabtī tum par kastī hai
sīdhī aurat kī bhī upādhī tum ko Dastī hai
aur tumhārī us ghar meñ hī duniyā bastī hai
chhat dīvāreñ konā konā kaisā hotā hai
maañ ho tum aur maañ kā honā aisā hotā hai
chhoTī sī tanḳhvāh meñ kaise karne haiñ sab kaam
kabhī nahīñ miltā hai tum ko mehnat kā in.aam
aur nahīñ hotā hai jag meñ kabhī tumhārā naam
dhartī-māñ ke jaise tum bhī kartī nahīñ ārām
tum ko kyā ma.alūm ki sonā kaisā hotā hai
maañ ho tum aur maañ kā honā aisā hotā hai
ghuTnon ki piDa mein jag ke sone wali man
insulin ki goli se KHush hone wali man
silwaTi hathon se kapDon ko dhone wali man
papa ki ek DanT se ghuT kar rone wali man
bachchon se chhup chhup kar rona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
papa ki intelligency tum par bhaari hai
lekin tum ne prem ki ganga ghar mein utari hai
bandhna ghar ko ek dhage mein kitna bhaari hai
is mein tumhaari sarf tumhaari hi hoshiyari hai
tum ko hai malum pirona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
dakiyanusi kah kar biTiya tum par hansti hai
tum ko nahin malum ki phabti tum par kasti hai
sidhi aurat ki bhi upadhi tum ko Dasti hai
aur tumhaari us ghar mein hi duniya basti hai
chhat diwaren kona kona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
chhoTi si tanKHwah mein kaise karne hain sab kaam
kabhi nahin milta hai tum ko mehnat ka inam
aur nahin hota hai jag mein kabhi tumhaara nam
dharti-man ke jaise tum bhi karti nahin aaram
tum ko kya malum ki sona kaisa hota hai
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.