Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man ka haq

MORE BYMurtaza Sahil Tasleemi

    sochtā huuñ apnī maañ haq adā kaise karūñ

    merī izzat merī azmat sabab hai merī maañ

    merī ne.amat merī daulat hai vahī ik mehrbāñ

    bā.is-e-rahmat hai vo mere liye jannat-nishāñ

    kyoñ na phir jaan se us zaat ḳhidmat karūñ

    merī paidā.ish pe taklīfeñ uThā.īñ be-shumār

    maiñ huā bhūkā to duudh apnā pilāyā baar baar

    mujh ko siine se lagā kar use miltā qarār

    vo sarāpā māmtā hai aur us ko kyā kahūñ

    din ko din us ne na samjhā aur na samjhā shab ko shab

    merī bīmārī meñ us haal ho jaatā ajab

    vo duā kar ke davā kar ke bhī Dartī be-sabab

    chhīn letī merī bīmārī ġharaz sabr-o-sukūñ

    maiñ sharārat bhī agar kartā to vo kartī thī pyaar

    maiñ satātā bhī to vo kartī thī jaañ mujh par nisār

    al-ġharaz thī mere dam se ziist us pur-bahār

    us ulfat us shafqat bayāñ maiñ kyā karūñ

    sāya-e-shafqat meñ us ke ho gayā ab maiñ baḌā

    ab samajh saktā huuñ apne haq meñ achchhā aur burā

    jāntā huuñ ḳhuub maiñ farmāñ rasūlullāh

    maiñ sivā.e kufr ke har hukm us maan luuñ

    ai ḳhudā-e-do-jahāñ ai mālik-e-roz-e-jazā

    haq adā kartā rahūñ māñ-bāp ahbāb

    dūsroñ ko bhī mirī jaisī sa.ādat kar atā

    maiñ ki 'sāhil' garche terā banda-e-nāchīz huuñ

    sochtā huuñ apnī maañ haq adā kaise karūñ

    sochta hun apni man ka haq ada kaise karun

    meri izzat meri azmat ka sabab hai meri man

    meri neamat meri daulat hai wahi ek mehrban

    bais-e-rahmat hai wo mere liye jannat-nishan

    kyon na phir ji jaan se us zat ki KHidmat karun

    meri paidaish pe taklifen uThain be-shumar

    main hua bhuka to dudh apna pilaya bar bar

    mujh ko sine se laga kar hi use milta qarar

    wo sarapa mamta hai aur us ko kya kahun

    din ko din us ne na samjha aur na samjha shab ko shab

    meri bimari mein us ka haal ho jata ajab

    wo dua kar ke dawa kar ke bhi Darti be-sabab

    chhin leti meri bimari gharaz sabr-o-sukun

    main shararat bhi agar karta to wo karti thi pyar

    main satata bhi to wo karti thi jaan mujh par nisar

    al-gharaz thi mere dam se zist us ki pur-bahaar

    us ki ulfat us ki shafqat ka bayan main kya karun

    saya-e-shafqat mein us ke ho gaya ab main baDa

    ab samajh sakta hun apne haq mein achchha aur bura

    jaanta hun KHub main farman rasulullah ka

    main siwae kufr ke har hukm us ka man lun

    ai KHuda-e-do-jahan ai malik-e-roz-e-jaza

    haq ada karta rahun man-bap ka ahbab ka

    dusron ko bhi meri jaisi saadat kar ata

    main ki 'sahil' garche tera banda-e-nachiz hun

    sochta hun apni man ka haq ada kaise karun

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now