magarmachh ke aansu
ye aksar sochtī huuñ maiñ
ki bāteñ maiñ karūñ kis se
sabhī apne
magan haiñ apnī duniyā meñ
koī sāthī na hamdam hai
kahūñ jis se maiñ ġham apnā
na koī aisā shāna hai
ki jis par apnā sar rakh kar
karūñ ashkoñ se kuchh bāteñ
magar koī nahīñ merā
faqat tanhā.ī hai merī
mirī sāthī haiñ ghar kī chaar dīvāreñ
kabhī suunī nigāhoñ se
maiñ chhat ko taktī rahtī huuñ
ki mobile kī ghanTī bhī
bilā-maqsad nahīñ bajtī
mirī ḳhair-o-ḳhabar letā nahīñ koī
sab apne kārobār-e-zīst meñ masrūf rahte haiñ
mujhe lagtā hai
maiñ ‘uzv-e-mu’attal huuñ
maiñ ik bekār shai huuñ
koī hājat hī nahīñ jis kī kisī ko
magar jis din maiñ sab ko chhoḌ kar
is bazm-e-fānī se chalī jā.ūñgī
sab ko yaad ā.ūñgī
merī turbat pe aa aa kar
sabhī sham'eñ jalā.eñge
magarmachh ke sabhī aañsū bahā.enge
ye aksar sochti hun main
ki baaten main karun kis se
sabhi apne
magan hain apni duniya mein
koi sathi na hamdam hai
kahun jis se main gham apna
na koi aisa shana hai
ki jis par apna sar rakh kar
karun ashkon se kuchh baaten
magar koi nahin mera
faqat tanhai hai meri
meri sathi hain ghar ki chaar diwaren
kabhi suni nigahon se
main chhat ko takti rahti hun
ki mobile ki ghanTi bhi
bila-maqsad nahin bajti
meri KHair-o-KHabar leta nahin koi
sab apne karobar-e-zist mein masruf rahte hain
mujhe lagta hai
main ‘uzw-e-mu’attal hun
main ek bekar shai hun
koi hajat hi nahin jis ki kisi ko
magar jis din main sab ko chhoD kar
is bazm-e-fani se chali jaungi
sab ko yaad aaungi
meri turbat pe aa aa kar
sabhi sham'en jalaenge
magarmachh ke sabhi aansu bahaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.