mahbuba-e-derina se
ai ki tū ‘arsa-e-māzī meñ mire dil ke liye
bā’is-e-lutf pur-asrār huā kartī thī
mire haq meñ tire halke se taġhāful kī adā
sūrat-e-sang girāñ-bār huā kartī thī
mirī nazroñ meñ ye rangīnī-e-auqāt-e-sahar
tire ruḳhsār ke ġhāze kī jhalak thī jānāñ
tasht-e-tārīk meñ bikhre hue tāroñ kā hujūm
tirī mā'sūm nigāhoñ kī damak thī jānāñ
tire malbūs se chhantī huī ḳhushbū ke sivā
bū koī dil ko mire raas nahīñ aatī thī
maiñ ki āhista tujhe khīñch liyā kartā thā
tū jo sharmā ke mire paas nahīñ aatī thī
yaad to kar ki maiñ kis tarh tire hoñToñ ko
surḳh phūloñ kī nazākat se milā detā thā
bārhā maiñ tire halke se tabassum ke liye
apne muñh ko tire āñchal kī havā detā thā
vaqt bijlī kī sī raftār pakaḌ kar niklā
haa.e afsos vo ayyām-e-hasīñ biit ga.e
ek rangīn fasāne kā ye anjām huā
ulfateñ haar ga.iiñ aur sitam jiit ga.e
lekin ai dost vo ik ‘arsa-e-māzī thā faqat
us kī yādoñ ko dil-o-jāñ se miTānā hogā
hasrateñ le ke kahāñ jā.eñge ham sāhib-e-dil
dil ke ik gosha-e-vīrāñ meñ dabānā hogā
varna be-sūd mohabbat ke sabab jān-e-jahāñ
ham zamāne ke taqāzoñ se ulajh baiTheñge
ai ki tu ‘arsa-e-mazi mein mere dil ke liye
ba’is-e-lutf pur-asrar hua karti thi
mere haq mein tere halke se taghaful ki ada
surat-e-sang giran-bar hua karti thi
meri nazron mein ye rangini-e-auqat-e-sahar
tere ruKHsar ke ghaze ki jhalak thi jaanan
tasht-e-tarik mein bikhre hue taron ka hujum
teri ma'sum nigahon ki damak thi jaanan
tere malbus se chhanti hui KHushbu ke siwa
bu koi dil ko mere ras nahin aati thi
main ki aahista tujhe khinch liya karta tha
tu jo sharma ke mere pas nahin aati thi
yaad to kar ki main kis tarh tere honTon ko
surKH phulon ki nazakat se mila deta tha
barha main tere halke se tabassum ke liye
apne munh ko tere aanchal ki hawa deta tha
waqt bijli ki si raftar pakaD kar nikla
hae afsos wo ayyam-e-hasin bit gae
ek rangin fasane ka ye anjam hua
ulfaten haar gain aur sitam jit gae
lekin ai dost wo ek ‘arsa-e-mazi tha faqat
us ki yaadon ko dil-o-jaan se miTana hoga
hasraten le ke kahan jaenge hum sahib-e-dil
dil ke ek gosha-e-viran mein dabana hoga
warna be-sud mohabbat ke sabab jaan-e-jahan
hum zamane ke taqazon se ulajh baiThenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.