Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahbuba ke liye aaKHiri nazm

Sarmad Sahbai

mahbuba ke liye aaKHiri nazm

Sarmad Sahbai

MORE BYSarmad Sahbai

    pahle jitnī bāteñ thiiñ vo tum se thiiñ

    tere naam ek radīf se saare qāfiye

    bante aur bigaḌte the

    maiñ apne andhe hāthoñ se

    tere jism ke pur-asrār zamānoñ tahrīreñ paḌh letā thā

    aur phir achchhī achchhī nazmeñ ghaḌ letā thā

    bhī to kāġhaz ke phūloñ mānind

    har mausam meñ khil jaatī thī

    or maiñ hijr-o-visāl ḳhushkī aur tarī par

    tere liye har haal meñ zinda rah letā thā

    apne liye bhī terī taraf se

    saarī bāteñ kah letā thā

    terī sūrat mere hone aur na hone

    jāgne sone is dhuup aur chhāñv meñ

    ek jaisī rahtī thī

    aur merī sāñsoñ baḳht tumhāre pallū se bañdhā thā

    lekin ab to terī saaḌī ke sab lahariye

    mere jism ko Das bhī chuke haiñ

    ab to jaao

    merī purānī nazmoñ almārī meñ ārām se kar so jaao

    kyūñki maiñ ab apne aap se bāteñ karnā chāhtā huuñ

    pahle jitni baaten thin wo tum se thin

    tere hi nam ki ek radif se sare qafiye

    bante aur bigaDte the

    main apne andhe hathon se

    tere jism ke pur-asrar zamanon ki tahriren paDh leta tha

    aur phir achchhi achchhi nazmen ghaD leta tha

    tu bhi to kaghaz ke phulon ki manind

    har mausam mein khil jati thi

    or main hijr-o-visal ki KHushki aur tari par

    tere liye har haal mein zinda rah leta tha

    apne liye bhi teri taraf se

    sari baaten kah leta tha

    teri surat mere hone aur na hone

    jagne sone ki is dhup aur chhanw mein

    ek hi jaisi rahti thi

    aur meri sanson ka baKHt tumhaare hi pallu se bandha tha

    lekin ab to teri saDi ke sab lahariye

    mere jism ko Das bhi chuke hain

    ab to jao

    meri purani nazmon ki almari mein aaram se ja kar so jao

    kyunki main ab apne aap se baaten karna chahta hun

    Source:

    siip-volume-35 (Pg. 145)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now