main aa raha hun
maiñ jāntā huuñ
ye raat ko chupke chupke ḳhvāboñ meñ
yuuñ tirā baar baar aanā
vo sahme sahme hue se ruknā
vo be-kasī meñ qadam uThānā
vo hasrat-e-guftugū meñ tere
ḳhamosh hoñToñ kā tilmilānā
samajh gayā huuñ
ki mujh se milne kī aarzū
tujh ko kaise be-tāb kar rahī hai
magar mirī jaan!
tū aisī manzil pe jā rahī hai
jahāñ se pīchhe ko
lauT aane kā koī imkān hī nahīñ hai
to phir kyā hogā
jahāñ ye be-roz-o-shab ke itne
tavīl lamhe guzar ga.e haiñ
kuchh aur dil ko zarā sambhālo
kuchh aur abhī intizār kar lo
maiñ aa rahā huuñ
maiñ aa rahā huuñ
main jaanta hun
ye raat ko chupke chupke KHwabon mein
yun tera bar bar aana
wo sahme sahme hue se rukna
wo be-kasi mein qadam uThana
wo hasrat-e-guftugu mein tere
KHamosh honTon ka tilmilana
samajh gaya hun
ki mujh se milne ki aarzu
tujh ko kaise be-tab kar rahi hai
magar meri jaan!
tu aisi manzil pe ja rahi hai
jahan se pichhe ko
lauT aane ka koi imkan hi nahin hai
to phir kya hoga
jahan ye be-roz-o-shab ke itne
tawil lamhe guzar gae hain
kuchh aur dil ko zara sambhaalo
kuchh aur abhi intizar kar lo
main aa raha hun
main aa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.