Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bint-e-hawwa

Saleem Figar

bint-e-hawwa

Saleem Figar

MORE BYSaleem Figar

    tum se sirf ek baar janmī ga.ī huuñ

    magar tum to aaj tak

    mujh se janm le rahe ho

    phir maiñ mahz ik saayā ban kar kyuuñ rah ga.ī

    vajūd kyuuñ nahīñ banī

    merā paḌāv hamesha

    tumhāre añgūThe ke nīche kyuuñ rakhā gayā hai

    maiñ tumhāre naam sil

    apne badan se haTā kar

    khulī havā meñ muñh bhar kar saañs lenā chāhtī huuñ

    baap bhaa.ī shauhar aur beTe ke ghar ke alāva

    merā apnā vatan bhī to honā chāhiye

    qaidī āñkhoñ meñ iltijā ke phuul liye

    ijāzatoñ ke raah takte takte pañkhuḌiyāñ suukh kar

    merī ruuh meñ kāñToñ tarah chhīne lagī haiñ

    ḳhudārā merī āñkhoñ ko zamīn se itnā kas kar na bāñdho

    ki maiñ āsmān ke rang dekhā chāhtī huuñ

    aur tumhārī āñkhoñ meñ

    sulagtī huī andhī anā chiñgāriyoñ ko

    apnī rupahlī mohabbatoñ phuvār se sard karnā chāhtī huuñ

    pairoñ se uTh kar

    mere dil meñ tumhāre saath chalne ḳhvāhish hai

    aur tum mujhe ka.ī rishtoñ tanāboñ meñ jakaḌ kar bhī

    merī uḌaan se ḳhauf-zada ho

    ye jaan kar bhī

    ki agar parindoñ ke par kaaT diye jaa.eñ

    to phir un ke liye pinjroñ zarūrat baaqī nahīñ rahtī

    minnatoñ ke dard karte karte

    merī zabānoñ gosht galne lagā hai

    chalo hukm na sahī kam-az-kam

    mujhe apnī baat karne to āzādī ho

    tumhārī kohna rivāyāt beḌiyāñ

    pinDliyoñ gosht kaaT kar

    ab merī haDDiyāñ chabānā chāhtī haiñ

    maiñ muñh ke bal girī ma.azūr huī

    to ehtijājan bāñjh ho jā.ūñgī

    aur agar meñ bāñjh huī to apne janm ke liye

    ā.inda sadī ke kis kho meñ utroge

    tum se sirf ek bar janmi gai hun

    magar tum to aaj tak

    mujh se janm le rahe ho

    phir main mahz ek saya ban kar kyun rah gai

    wajud kyun nahin bani

    mera paDaw hamesha

    tumhaare anguThe ke niche kyun rakha gaya hai

    main tumhaare nam ki sil

    apne badan se haTa kar

    khuli hawa mein munh bhar kar sans lena chahti hun

    bap bhai shauhar aur beTe ke ghar ke alawa

    mera apna watan bhi to hona chahiye

    qaidi aankhon mein iltija ke phul liye

    ijazaton ke rah takte takte pankhuDiyan sukh kar

    meri ruh mein kanTon ki tarah chhine lagi hain

    KHudara meri aankhon ko zamin se itna kas kar na bandho

    ki main aasman ke rang dekha chahti hun

    aur tumhaari aankhon mein

    sulagti hui andhi ana ki chingariyon ko

    apni rupahli mohabbaton ki phuwar se sard karna chahti hun

    pairon se uTh kar

    mere dil mein tumhaare sath chalne ki KHwahish hai

    aur tum mujhe kai rishton ki tanabon mein jakaD kar bhi

    meri uDan se KHauf-zada ho

    ye jaan kar bhi

    ki agar parindon ke par kaT diye jaen

    to phir un ke liye pinjron ki zarurat baqi nahin rahti

    minnaton ke dard karte karte

    meri zabanon ka gosht galne laga hai

    chalo hukm na sahi kam-az-kam

    mujhe apni baat karne ki to aazadi ho

    tumhaari kohna riwayat ki beDiyan

    pinDliyon ka gosht kaT kar

    ab meri haDDiyan chabana chahti hain

    main munh ke bal giri ya mazur hui

    to ehtijajan banjh ho jaungi

    aur agar mein banjh hui to apne janm ke liye

    aainda sadi ke kis ki kho mein utroge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now