majburi
barāh-e-rāst jo utre the āsmāñ se hurūf
javāz ban na sake tarjumān ban na sake
qunūtiyat kā huuñ qaa.il na maiñ rajā.ī huuñ
payāmbar huuñ na mujh par huā hai koī nuzūl
ḳhud apnī zaat se pheñkā gayā thā maiñ bāhar
zamīn par huuñ zamīñ se ta'alluqāt nahīñ
bhaTak rahā huuñ maiñ be-rishtagī ke sahrā meñ
ye e'tizāl hai bas mere karb kā maḳhraj
ye bāzyāft hai merī aziyyatoñ kā sabab
is ehtijāj pe mujh ko kiyā gayā maslūb
mujhe bhī koī muqaddas kitāb de jaao
ye āgahī kā musalsal 'azāb le jaao
barah-e-rast jo utre the aasman se huruf
jawaz ban na sake tarjuman ban na sake
qunutiyat ka hun qail na main rajai hun
payambar hun na mujh par hua hai koi nuzul
KHud apni zat se phenka gaya tha main bahar
zamin par hun zamin se ta'alluqat nahin
bhaTak raha hun main be-rishtagi ke sahra mein
ye e'tizal hai bas mere karb ka maKHraj
ye bazyaft hai meri aziyyaton ka sabab
is ehtijaj pe mujh ko kiya gaya maslub
mujhe bhi koi muqaddas kitab de jao
ye aagahi ka musalsal 'azab le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.