makin nahin koi
mire qarīb to 'aurat hī zindagī hai yahāñ
isī badan se taḳhayyul kī hai numūdārī
isī kī naaf se juḌnā hai zindagī kī baqā
isī ke sīna-e-qulzum se kā.enāt meñ nam
isī kī kokh ke pardoñ ko chhū ke ab bhī hayāt
azal se 'ishq kī vahdat meñ Dhal rahī hai yahāñ
isī ke paañv tale hai bahisht kī chādar
isī kī chaap kī barkat se sabza-o-gul haiñ
isī ke husn-e-tamāzat se vahdat-o-kul haiñ
ye chāroñ or jo dikhtī hai kasrat-e-vahdat
jo sach kahūñ dil-e-kāfir vajūd-e-zan se hai
so is se baḌh ke jahāñ meñ hasīñ nahīñ koī
so is sivā mire dil meñ makīñ nahīñ koī
so is sivā mire dil meñ makīñ nahīñ koī
mere qarib to 'aurat hi zindagi hai yahan
isi badan se taKHayyul ki hai numudari
isi ki naf se juDna hai zindagi ki baqa
isi ke sina-e-qulzum se kaenat mein nam
isi ki kokh ke pardon ko chhu ke ab bhi hayat
azal se 'ishq ki wahdat mein Dhal rahi hai yahan
isi ke panw tale hai bahisht ki chadar
isi ki chap ki barkat se sabza-o-gul hain
isi ke husn-e-tamazat se wahdat-o-kul hain
ye chaaron or jo dikhti hai kasrat-e-wahdat
jo sach kahun dil-e-kafir wajud-e-zan se hai
so is se baDh ke jahan mein hasin nahin koi
so is siwa mere dil mein makin nahin koi
so is siwa mere dil mein makin nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.