Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mariz-e-mohabbat

Jameel Mazhari

mariz-e-mohabbat

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    apne pindār-e-ḳhudī se munfa.il huuñ 'maz.harī'

    maiñ zuhūr-e-iḳhtilāl-e-āb-o-gil huuñ 'maz.harī'

    ki mohabbat marīz-e-mustaqil huuñ 'maz.harī'

    dostī kyā dushmanī se bhī mohabbat maiñ ne

    raushnī kyā tīrgī se bhī mohabbat maiñ ne

    muskurā.ī tīrgī mujh ko mohabbat ho ga.ī

    hañs ke bolī dushmanī mujh ko mohabbat ho ga.ī

    muflisī o be-navā.ī se mohabbat maiñ ne

    har surūr-e-ḳhud-numā.ī se mohabbat maiñ ne

    har ġhurūr-e-kibriyā.ī se mohabbat maiñ ne

    be-ruḳhī o kaj-adā.ī se mohabbat maiñ ne

    tar-zabāñ ho kar rukhā.ī se mohabbat maiñ ne

    thā rajā.ī kis qadar merī mohabbat dimāġh

    ahrman ke sīna-e-tārīk meñ dekhā charāġh

    ik sitāristāñ nazar aayā añdherā daaġh daaġh

    maiñ ne makkārī o ayyārī meñ bhī dekhā ḳhulūs

    maiñ sayyādī o jallādī se bhī bartā ḳhulūs

    maiñ ne qahhārī o jabbārī meñ bhī DhūñDā ḳhulūs

    apne is jazbe ko ik tashdīd-e-īmānī bhī

    dostoñ ke vāste īmāñ qurbānī bhī

    taaki puurī ho mohabbat ik ummīd-e-fuzūl

    bār-hā jhoñkā kiyā insāf āñkhoñ meñ dhuul

    phir bhī sab kuchh kho ke sab kuchh de ke kuchh paayā nahīñ

    aql kaam aa.ī nahīñ aur ishq raas aayā nahīñ

    jis ko kahte haiñ vafā ik saḳht bīmārī hai ye

    ḳhud-kushī ho na ho lekin ḳhud-āzārī hai ye

    nāz-bardārī meñ bhī ik bār-bardārī hai ye

    maiñ mohabbat havas meñ itnā be-ḳhud ho gayā

    mere andar mādda nafrat bilkul so gayā

    ai azīzo! is marīz-e-zindagī kyā ilaaj

    is ḳhudī kyā ilaaj is be-ḳhudī kyā ilaaj

    jis ko ho nāz-e-vafā us aadmī kyā ilaaj

    'ijtibā' se pūchhte ho 'maz.harī' kyā ilaaj

    sau ḳhulūs-e-be-riyā ik ḳhabāsat se ilaaj

    ye maraz hai, ye maraz hai is nafrat hai ilaaj

    bas yahī rāz-e-shifā hai, bas yahī rāz-e-shifā

    bas yahī merī davā hai bas yahī merī davā

    koī merī ruuh par aisā kare zulm-e-shadīd

    mujh meñ nafrat uThe salavāt bar-rūh-e-yazīd

    apne pindar-e-KHudi se munfail hun 'mazhari'

    main zuhur-e-iKHtilal-e-ab-o-gil hun 'mazhari'

    ki mohabbat ka mariz-e-mustaqil hun 'mazhari'

    dosti kya dushmani se bhi mohabbat main ne ki

    raushni kya tirgi se bhi mohabbat main ne ki

    muskurai tirgi mujh ko mohabbat ho gai

    hans ke boli dushmani mujh ko mohabbat ho gai

    muflisi o be-nawai se mohabbat main ne ki

    har surur-e-KHud-numai se mohabbat main ne ki

    har ghurur-e-kibriyai se mohabbat main ne ki

    be-ruKHi o kaj-adai se mohabbat main ne ki

    tar-zaban ho kar rukhai se mohabbat main ne ki

    tha rajai kis qadar meri mohabbat ka dimagh

    ahrman ke sina-e-tarik mein dekha charagh

    ek sitaristan nazar aaya andhera dagh dagh

    main ne makkari o ayyari mein bhi dekha KHulus

    main sayyaadi o jalladi se bhi barta KHulus

    main ne qahhaari o jabbari mein bhi DhunDa KHulus

    apne is jazbe ko ek tashdid-e-imani bhi di

    doston ke waste iman ki qurbani bhi di

    taki puri ho mohabbat ki ek ummid-e-fuzul

    bar-ha jhonka kiya insaf ki aankhon mein dhul

    phir bhi sab kuchh kho ke sab kuchh de ke kuchh paya nahin

    aql kaam aai nahin aur ishq ras aaya nahin

    jis ko kahte hain wafa ek saKHt bimari hai ye

    KHud-kushi ho ya na ho lekin KHud-azari hai ye

    naz-bardari mein bhi ek bar-bardari hai ye

    main mohabbat ki hawas mein itna be-KHud ho gaya

    mere andar madda nafrat ka bilkul so gaya

    ai azizo! is mariz-e-zindagi ka kya ilaj

    is KHudi ka kya ilaj is be-KHudi ka kya ilaj

    jis ko ho naz-e-wafa us aadmi ka kya ilaj

    'ijtiba' se puchhte ho 'mazhari' ka kya ilaj

    sau KHulus-e-be-riya ka ek KHabasat se ilaj

    ye maraz hai, ye maraz hai is ka nafrat hai ilaj

    bas yahi raaz-e-shifa hai, bas yahi raaz-e-shifa

    bas yahi meri dawa hai bas yahi meri dawa

    koi meri ruh par aisa kare zulm-e-shadid

    mujh mein nafrat ji uThe salawat bar-ruh-e-yazid

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now