Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masiha ki qatil

Payam Fatehpuri

masiha ki qatil

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    tum masīhā ho ki qātil ho maiñ kyoñ batlā.ūñ

    ḳhud ye tārīḳh ke aurāq batā.eñge tumheñ

    tum ho me.amār na.ī ziist ke qātil ho

    faisla vaqt ke hāthoñ se yahī honā hai

    dauḌ har samt hai phir Tankoñ tayyāroñ

    amn-e-ālam hai ki phir zad pe hai hathiyāroñ

    har taraf jang ke hālāt banā rakkhe haiñ

    haath mazlūm ke patthar meñ dabā rakkhe haiñ

    tum ne is daur ko sarmāya zanjīroñ se

    qaid kar rakkhā hai har samt jakaḌ rakkhā hai

    ismateñ izzateñ sab qaid meñ haiñ

    mehnateñ rāhateñ sab qaid meñ haiñ

    ziist parvān chaḌhegī ki nahīñ

    zaḳhm-e-dil phuul baneñge ki ajal

    ḳhud ye tārīḳh ke aurāq batā.eñge tumheñ

    tum masīhā ho ki qātil ho maiñ kyoñ batlā.ūñ

    shahr-o-dehāt na.aroñ se fazā gūñjegī

    jald TūTegī ye zanjīr sadā gūñjegī

    aaj mehnat hai agar qaid rahā bhī hogī

    zindagī ke liye āzād fazā bhī hogī

    mehnat-o-rāhat-o-izzat lahū

    ab tire jaam se hai jald chhalakne vaalā

    chhup sakeñge na chhupāne se lahū ke dhabbe

    ḳhud ik din tire dāman pe ubhar ā.eñge

    ḳhud tārīḳh ke aurāq pukār uTTheñge

    ki masīhā nahīñ is daur ke qātil tum ho

    tum masiha ho ki qatil ho main kyon batlaun

    KHud ye tariKH ke auraq bataenge tumhein

    tum ho meamar nai zist ke ya qatil ho

    faisla waqt ke hathon se yahi hona hai

    dauD har samt hai phir Tankon tayyaron ki

    amn-e-alam hai ki phir zad pe hai hathiyaron ki

    har taraf jang ke haalat bana rakkhe hain

    hath mazlum ke patthar mein daba rakkhe hain

    tum ne is daur ko sarmaya ki zanjiron se

    qaid kar rakkha hai har samt jakaD rakkha hai

    ismaten izzaten sab qaid mein hain

    mehnaten rahaten sab qaid mein hain

    zist parwan chaDhegi ki nahin

    zaKHm-e-dil phul banenge ki ajal

    KHud ye tariKH ke auraq bataenge tumhein

    tum masiha ho ki qatil ho main kyon batlaun

    shahr-o-dehat ki naron se faza gunjegi

    jald TuTegi ye zanjir sada gunjegi

    aaj mehnat hai agar qaid raha bhi hogi

    zindagi ke liye aazad faza bhi hogi

    mehnat-o-rahat-o-izzat ka lahu

    ab tere jam se hai jald chhalakne wala

    chhup sakenge na chhupane se lahu ke dhabbe

    KHud hi ek din tere daman pe ubhar aaenge

    KHud hi tariKH ke auraq pukar uTThenge

    ki masiha nahin is daur ke qatil tum ho

    Source:

    Abru Bad (Pg. 25)

    • Author: Payam Fatehpuri
      • Publisher: Razzaaqii press, Kanpur
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now