mausam-e-bahaaran
aayā basant jashn-e-bahārāñ liye hue
har phuul hai mizāj-e-gulistāñ liye hue
dekho ki har shajar ne hai badlā nayā libās
har shāḳh-e-gul hai paikar-e-ḳhūbāñ liye hue
har samt aa rahe haiñ nazar zard zard phuul
har shāḳh hai matā'-e-bahārāñ liye hue
gul bhī na.e haiñ aur na.ī hai bahār bhī
har ek aaj hai nayā sāmāñ liye hue
har phuul tāktā hai mirī samt baar baar
terī nigāh-e-nāz kā armāñ liye hue
hotā hai ḳhatm mausam-e-sarmā kā bāñkpan
sarsoñ ke phuul haiñ na.e armāñ liye hue
har ġhuncha josh-e-husn se jannat-nigāh hai
har phuul hai bahisht kā sāmāñ liye hue
raas aa.e kaash ham ko bhī 'shādāñ' bahār-e-nau
ham bhī khaḌe haiñ chāk-e-garebāñ liye hue
aaya basant jashn-e-bahaaran liye hue
har phul hai mizaj-e-gulistan liye hue
dekho ki har shajar ne hai badla naya libas
har shaKH-e-gul hai paikar-e-KHuban liye hue
har samt aa rahe hain nazar zard zard phul
har shaKH hai mata'-e-bahaaran liye hue
gul bhi nae hain aur nai hai bahaar bhi
har ek aaj hai naya saman liye hue
har phul takta hai meri samt bar bar
teri nigah-e-naz ka arman liye hue
hota hai KHatm mausam-e-sarma ka bankpan
sarson ke phul hain nae arman liye hue
har ghuncha josh-e-husn se jannat-nigah hai
har phul hai bahisht ka saman liye hue
ras aae kash hum ko bhi 'shadan' bahaar-e-nau
hum bhi khaDe hain chaak-e-gareban liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.