mausam-e-hijr
ham-nashīñ
ab ke mausam kā lahja bahut sard hai
jis taraf dekhiye barf hī barf hai
ham-nashīñ
ab ke mausam kā ye jārihāna jo andāz hai
us kā tevar tumhārī rifāqat kā ġhammāz hai
ham-nashīñ
aisī yaḳh-bastagī hai ki siine meñ dhaḌkan talak jam ga.ī
aur is sard-mehrī se ghabrā ke sadiyoñ se nādīda goshoñ meñ poshīda sāñseñ talak tham ga.iiñ
ham-nashīñ
ḳhvāhish-e-vasl hijrat-zada mausamoñ kī fasīloñ pe ḳhud-kush banī ghūmtī hai abhī
bebasī rābtoñ ke gale meñ paḌī rassiyoñ kī jabīñ chūmtī hai abhī
ham-nashīñ
is se pahle ki jazbāt mausam kī talḳhī tale dab ke dam toḌ deñ
is se pahle ki is hijr kī be-karāñ vus'atoñ meñ bhaTakte hue
rūheñ apnā badan chhoḌ deñ
lauT aa
darmiyāñ ke sabhī fāsle paaT de
barf-zāroñ ko ab rabt kī aañch de
ham-nashin
ab ke mausam ka lahja bahut sard hai
jis taraf dekhiye barf hi barf hai
ham-nashin
ab ke mausam ka ye jarihana jo andaz hai
us ka tewar tumhaari rifaqat ka ghammaz hai
ham-nashin
aisi yaKH-bastagi hai ki sine mein dhaDkan talak jam gai
aur is sard-mehri se ghabra ke sadiyon se nadida goshon mein poshida sansen talak tham gain
ham-nashin
KHwahish-e-wasl hijrat-zada mausamon ki fasilon pe KHud-kush bani ghumti hai abhi
bebasi rabton ke gale mein paDi rassiyon ki jabin chumti hai abhi
ham-nashin
is se pahle ki jazbaat mausam ki talKHi tale dab ke dam toD den
is se pahle ki is hijr ki be-karan wus'aton mein bhaTakte hue
ruhen apna badan chhoD den
lauT aa
darmiyan ke sabhi fasle paT de
barf-zaron ko ab rabt ki aanch de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.