Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ka dusra nam

Muzaffar Hanfi

maut ka dusra nam

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    us ko albam dikhāte hue

    maiñ batlāyā

    ye dekhiye ye merā dost hai

    aaj kal ġhāliban kenya meñ

    rabar kisī farm meñ ūñche ohde pe hai

    us ne chehre ko lambā banā kar kahā

    maiñ use jāntā huuñ

    ka.ī baar do-chār paig us ke hamrāh bhī chukā huuñ

    ye chhe saal pahle mujhe kenya meñ milā thā

    magar us mulāqāt ke dūsre baras

    rail ke hādse meñ ye maarā gayā thaa!

    fazā daf.atan dard se bhar ga.ī

    samajh meñ na aatā thā maiñ us Dhāras bañdhā.ūñ

    ki ḳhud chand taskīn ke lafz chāhūñ

    to aisā bhī hotā hai

    ye shaḳhs jo mere albam ke is kaale panne ke albam pe baiThā huā muskurātā hai

    aaj tak mere nazdīk zinda thā ye

    aur mere ta.iiñ do ghaḌī pesh-tar marā hai

    to kyā maut dūsrā naam hai āgahī!

    us ko albam dikhate hue

    main batlaya

    ye dekhiye ye mera dost hai

    aaj kal ghaaliban kenya mein

    rabar ki kisi farm mein unche ohde pe hai

    us ne chehre ko lamba bana kar kaha

    main use jaanta hun

    kai bar do-chaar paig us ke hamrah bhi pi chuka hun

    ye chhe sal pahle mujhe kenya mein mila tha

    magar us mulaqat ke dusre hi baras

    rail ke hadse mein ye mara gaya tha!

    faza dafatan dard se bhar gai

    samajh mein na aata tha main us ki Dhaaras bandhaun

    ki KHud chand taskin ke lafz chahun

    to aisa bhi hota hai

    ye shaKHs jo mere albam ke is kale panne ke albam pe baiTha hua muskuraata hai

    aaj tak mere nazdik zinda tha ye

    aur mere tain do ghaDi pesh-tar hi mara hai

    to kya maut ka dusra nam hai aagahi!

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 341)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now