mera ghar
jaane kab se bhiig rahā huuñ
yaad nahīñ
bārish aur badan ke biich añdherā hai
āñkheñ band paḌī haiñ
phir bhī
andāze se dekh rahā huuñ
duur bahut ik miTTī kā ghar
jaise ab girne vaalā hai
achchhā hai ki darvāze par taalā hai
galiyāñ sab vīrān paḌī haiñ
bāhar khelne vaale bachche
apne apne ghar dubke haiñ
gaa.e bhaiñs apnī nāñdoñ meñ
muñh laTkā.e
mastī se pagurī kartī haiñ
lekin baiThak meñ
ik kone
lañgḌī kutiyā uuñgh rahī hai
us kī hālat
ghar kī hālat
ik jaisī hai
ghar gir jaa.e to maiñ apnī āñkheñ kholūñ
apne aap ko malbe se bāhar le aa.uuñ
jashn manā.ūñ
lañgḌī kutiyā ke marne kā
jaane kab se bhig raha hun
yaad nahin
barish aur badan ke bich andhera hai
aankhen band paDi hain
phir bhi
andaze se dekh raha hun
dur bahut ek miTTi ka ghar
jaise ab girne wala hai
achchha hai ki darwaze par tala hai
galiyan sab viran paDi hain
bahar khelne wale bachche
apne apne ghar dubke hain
gae bhains apni nandon mein
munh laTkae
masti se paguri karti hain
lekin baiThak mein
ek kone
langDi kutiya ungh rahi hai
us ki haalat
ghar ki haalat
ek jaisi hai
ghar gir jae to main apni aankhen kholun
apne aap ko malbe se bahar le aaun
jashn manaun
langDi kutiya ke marne ka
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 111)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.