meri urdu zaban
mere lab par na ho kyoñ tirī dāstāñ
merī urdu zabāñ merī urdu zabāñ
tujh se mīThā nahīñ koī shīrīñ-dahāñ
terī tā'rīf kaise karūñ maiñ bayāñ
rang saarī zabānoñ ke tujh meñ nihāñ
tujh pe qurbān lab-hā-e-shakkar-fashāñ
tū garanthoñ meñ hai saañs letī huī
tū bhajan meñ na.e rang detī huī
tū hai naġhmoñ ke dariyā meñ bahtī huī
pyaar ke sāhiloñ kī taraf hai ravāñ
'mīr' kī dhaḌkanoñ meñ samā.ī hai tū
fikr-e-'ġhālib' meñ bhī muskurā.ī hai tū
zehn-e-'iqbāl' meñ jagmagā.ī hai tū
tū 'firāq' aur 'chakbast' kī jān-e-jāñ
tujh se shoḳhī bhī shā.istagī bhī milī
'krishn'-o-'bedī' ke fan kī kalī bhī khilī
kitnī be-misl hai terī dariyā-dilī
terī āġhosh meñ sab ne paa.ī amaañ
fikr hai bas yahī tū rahe jāvedāñ
manzileñ tai kare ye tirā kārvāñ
laakh tūfāñ uTheñ aur chaleñ āñdhiyāñ
'azm-o-himmat kareñge tujhe kāmrāñ
mere lab par na ho kyon teri dastan
meri urdu zaban meri urdu zaban
tujh se miTha nahin koi shirin-dahan
teri ta'rif kaise karun main bayan
rang sari zabanon ke tujh mein nihan
tujh pe qurban lab-ha-e-shakkar-fashan
tu garanthon mein hai sans leti hui
tu bhajan mein nae rang deti hui
tu hai naghmon ke dariya mein bahti hui
pyar ke sahilon ki taraf hai rawan
'mir' ki dhaDkanon mein samai hai tu
fikr-e-'ghaalib' mein bhi muskurai hai tu
zehn-e-'iqbaal' mein jagmagai hai tu
tu 'firaq' aur 'chakbast' ki jaan-e-jaan
tujh se shoKHi bhi shaistagi bhi mili
'krishn'-o-'bedi' ke fan ki kali bhi khili
kitni be-misl hai teri dariya-dili
teri aaghosh mein sab ne pai aman
fikr hai bas yahi tu rahe jawedan
manzilen tai kare ye tera karwan
lakh tufan uThen aur chalen aandhiyan
'azm-o-himmat karenge tujhe kaamran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.