Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

michelanjelo ki ek raat

Qamar Jameel

michelanjelo ki ek raat

Qamar Jameel

MORE BYQamar Jameel

    aadam pahlī āvāz

    in pattharoñ meñ ab bhī

    chamak rahī hai jinheñ pahlī

    baar maiñ ne apnī apnī zamīñ

    maiñ dekhā merī sar-zamīñ

    un barfāb jismoñ se ābād hai

    jin jismoñ meñ ḳhūb-sūrat

    āñkheñ na.ī jannat safīr haiñ fidyas

    maiñ tujhe

    ek na.e insān chehrā

    dikhātā huuñ us chehre par

    insāniyat ġhrēce hai aur

    azmat-e-ādam vo tasvīr hai

    jo hamesha merī zamīn par chamaktī

    rahegī maiñ aadam ko

    fitrat se aziim samajhtā huuñ

    merī rātoñ meñ patthar chamakte

    maiñ aur mere din

    marmar rātoñ se ziyāda raushan haiñ

    ye dekh ye aadam hai jis par raushnī

    dāhine kañdhe se nīche gir rahī hai

    raushan-dān darvāza band na karo

    abhī aadam ko apnī zamīn ke liye is

    raushnī zarūrat hai aur merī zamīn

    par ab bhī vo saaya maujūd hai jis

    saa.e meñ an-ginat rāteñ an-ginat

    rañg aur an-ginat chehre maujūd haiñ

    in añdhere meñ rafail nahīñ

    rodan aur henrimor bhī ghuum rahe haiñ

    apne apne mujassamoñ ke saath magar meñ

    ab ek na.e aadam mujassama banā.ūñgā

    jis aadam ke chehre par apnī zamīñ miTTī ke

    saath apnī zamīn sūraj bhī chamkegā

    kaash maiñ is na.e sūraj

    mujassama banā sakūñ

    aadam ki pahli aawaz

    in pattharon mein ab bhi

    chamak rahi hai jinhen pahli

    bar main ne apni apni zamin

    main dekha meri sar-zamin

    un barfab jismon se aabaad hai

    jin jismon mein KHub-surat

    aankhen nai jannat ki safir hain fidyas

    main tujhe

    ek nae insan ka chehra

    dikhata hun us chehre par

    insaniyat ka ghreece hai aur

    azmat-e-adam ki wo taswir hai

    jo hamesha meri zamin par chamakti

    rahegi main aadam ko

    fitrat se azim samajhta hun

    meri raaton mein patthar chamakte

    main aur mere din

    marmar ki raaton se ziyaada raushan hain

    ye dekh ye aadam hai jis par raushni

    dahine kandhe se niche gir rahi hai

    raushan-dan ka darwaza band na karo

    abhi aadam ko apni hi zamin ke liye is

    raushni ki zarurat hai aur meri zamin

    par ab bhi wo saya maujud hai jis

    sae mein an-ginat raaten an-ginat

    rang aur an-ginat chehre maujud hain

    in andhere mein rafail hi nahin

    rodan aur henrimor bhi ghum rahe hain

    apne apne mujassamon ke sath magar mein

    ab ek nae aadam ka mujassama banaunga

    jis aadam ke chehre par apni zamin ki miTTi ke

    sath apni zamin ka suraj bhi chamkega

    kash main is nae suraj ka

    mujassama bana sakun

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 202)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now