minnat
kisī mandir meñ
yā dargāh meñ
maiñ ne kabhī mannat nahīñ māñgī
koī dhāgā nahīñ bāñdhā
mirī jitnī bhī minnat aur mannat haiñ
tumhīñ se haiñ
har ik minnat pe
hoñToñ par
na.e ik she'r kā mazmūñ ubhartā hai
tumhārā naam
aayat kī tarah hoñToñ pe aatā hai
tilāvat hotī jaatī hai
muqaddas naam par
mannat ke dhāgoñ kī tarah
ash'ār kī girheñ lagā kar chhoḌ detā huuñ
du'ā-go huuñ
kabhī to merī mannat puurī hogī
kisī din to mirī ġhazleñ laboñ par tum sajāogī
kisī din to mire ash'ār kī ye saarī girheñ khol dogī
aur ye mannat ke dhāge
toḌ dogī tum
kisi mandir mein
ya dargah mein
main ne kabhi mannat nahin mangi
koi dhaga nahin bandha
meri jitni bhi minnat aur mannat hain
tumhin se hain
har ek minnat pe
honTon par
nae ek she'r ka mazmun ubharta hai
tumhaara nam
aayat ki tarah honTon pe aata hai
tilawat hoti jati hai
muqaddas nam par
mannat ke dhagon ki tarah
ash'ar ki girhen laga kar chhoD deta hun
du'a-go hun
kabhi to meri mannat puri hogi
kisi din to meri ghazlen labon par tum sajaogi
kisi din to mere ash'ar ki ye sari girhen khol dogi
aur ye mannat ke dhage
toD dogi tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.