Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhen

Bilal Aswad

meri aankhen

Bilal Aswad

MORE BYBilal Aswad

    tumhārī diid ḳhvāhish liye

    jab bhī tumhārī jhiil āñkhoñ tak pahuñchtī haiñ

    vahāñ pahle se ik aañkh ya.anī tīsrī

    maujūd hotī hai

    ye sun rakkhā thā maiñ ne

    roz-marra misāloñ meñ

    ki andhoñ meñ jo kaanā ho

    isī raaj chaltā hai

    magar andar andar har koī vāqif hai

    bhītar jo kahānī hai

    yahāñ kaanā to biinā shaḳhs par bhī raaj kartā hai

    ye kaanā kyā koī dajjāl hai

    tum jis se Dar kar

    mujh se pahle us ko

    apnā aap achchhe se dikhātī hai

    tum apnī diid pahlā nivāla us ko detī ho

    mujhe jhūTā khilātī ho

    nahīñ khānā mujhe dajjāl jhūTā

    ye maiñ us se nahīñ

    bas dil dil meñ ḳhud se kahtā huuñ

    use ma.alūm kab hai

    ki ye jo tīsrī hai

    us ke retina pichhlā dar jahāñ khultā hai

    vo dīvār duniyā ko nikaltī hai

    merī bardāsht sah jaa.e

    agar bas ek dajjāl tum ko dekh saktā ho

    yahāñ lekin tumhārā sab sab

    duniyā meñ jitne haiñ

    vo sab ke sab

    maiñ ye sab sah nahīñ saktā

    tumheñ dekhe binā bhī rah nahīñ saktā

    mujhe b koī mas.ala pahle nahīñ thā

    haañ magar ab ḳhuun merā kholtā hai

    jab kabhī gaaḌī chalāte vaqt koī board aa jaa.e

    jahāñ likhā huā ho speed kam rakkheñ

    yahāñ se kuchh qadam aage saḌak par

    camere aañkh tum ko dekhtī hai

    tumhaari did ki KHwahish liye

    jab bhi tumhaari jhil aankhon tak pahunchti hain

    wahan pahle se hi ek aankh yani tisri

    maujud hoti hai

    ye sun rakkha tha main ne

    roz-marra ki misalon mein

    ki andhon mein jo kana ho

    isi ka raj chalta hai

    magar andar hi andar har koi waqif hai

    bhitar jo kahani hai

    yahan kana to bina shaKHs par bhi raj karta hai

    ye kana kya koi dajjal hai

    tum jis se Dar kar

    mujh se pahle us ko

    apna aap achchhe se dikhati hai

    tum apni did ka pahla niwala us ko deti ho

    mujhe jhuTa khilati ho

    nahin khana mujhe dajjal ka jhuTa

    ye main us se nahin

    bas dil hi dil mein KHud se kahta hun

    use malum hi kab hai

    ki ye jo tisri hai

    us ke retina ka pichhla dar jahan khulta hai

    wo diwar duniya ko nikalti hai

    meri bardasht sah jae

    agar bas ek hi dajjal tum ko dekh sakta ho

    yahan lekin tumhaara sab ka sab

    duniya mein jitne hain

    wo sab ke sab

    main ye sab sah nahin sakta

    tumhein dekhe bina bhi rah nahin sakta

    mujhe b pi ka koi masala pahle nahin tha

    han magar ab KHun mera kholta hai

    jab kabhi gaDi chalate waqt koi board aa jae

    jahan likha hua ho speed kam rakkhen

    yahan se kuchh qadam aage saDak par

    camere ki aankh tum ko dekhti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now