meri mohabbat ka pas rakhna
maiñ un fazāoñ meñ saañs letā huuñ
jin meñ tum saañs le rahī ho
maiñ terī chunarī ko taan kar ḳhud pe raat taḳhlīq kar rahā huuñ
tirī hī bindiyā se nuur le kar
maiñ raat ko din banā rahā huuñ
bas ek tere liye alag se
maiñ kā.enāt
aur is kī ek ek chiiz ḳhud se sajā rahā huuñ
tirī jabīñ pe likhī mohabbat kī nazm ko gungunā rahā huuñ
mohabbatoñ ke hasīn bargad kī oT meñ ik chabūtare par
rehl rakhūñgā
aur us meñ tere nuqūsh rakh ke paḌhā karūñgā
falak se aatī huī muqaddas sī raushnī ko gavāh kar ke
maiñ sirf itnī du'ā karūñgā
maiñ jin fazāoñ meñ saañs letā huuñ
un fazāoñ ko saaf rakhnā
na dūriyāñ darmiyān laanā
mujhe tum apne hī paas rakhnā
faqat mohabbat ko ḳhaas rakhnā
mirī mohabbat kā paas rakhnā
mirī mohabbat kā paas rakhnā
main un fazaon mein sans leta hun
jin mein tum sans le rahi ho
main teri chunari ko tan kar KHud pe raat taKHliq kar raha hun
teri hi bindiya se nur le kar
main raat ko din bana raha hun
bas ek tere liye alag se
main kaenat
aur is ki ek ek chiz KHud se saja raha hun
teri jabin pe likhi mohabbat ki nazm ko gunguna raha hun
mohabbaton ke hasin bargad ki oT mein ek chabutare par
rehl rakhunga
aur us mein tere nuqush rakh ke paDha karunga
falak se aati hui muqaddas si raushni ko gawah kar ke
main sirf itni du'a karunga
main jin fazaon mein sans leta hun
un fazaon ko saf rakhna
na duriyan darmiyan lana
mujhe tum apne hi pas rakhna
faqat mohabbat ko KHas rakhna
meri mohabbat ka pas rakhna
meri mohabbat ka pas rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.