Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mirza-ghaalib

Mohammad Sadiq Zia

mirza-ghaalib

Mohammad Sadiq Zia

MORE BYMohammad Sadiq Zia

    rāzdān-e-zindagī ai tarjumān-e-zindagī

    hai tirā har lafz zinda dāstān-e-zindagī

    har tabassum se tire paidā fuġhān-e-zindagī

    har fuġhāñ terī nashīd-e-gulsitān-e-zindagī

    gulshan-e-husn-o-vafā ābiyārī tujh se hai

    ḳhaak ke zarroñ ko faḳhr-e-tāj-dārī tujh se hai

    daur-e-mustaqbil pe duniyā ke nigāheñ thiiñ tirī

    rahbar-e-rāh-e-amal dil-doz aaheñ thiiñ tirī

    sīna-e-ilm-e-haqīqat meñ panāheñ thiiñ tirī

    arsh se bhī aur aage jalva-gāheñ thiiñ tirī

    kaam thā tujh ko na mutlaq hasti-e-nākām se

    thī navā vābasta terī parda-e-ilhām se

    falsafe ḳhūbsūrat tarjumānī ne

    dasht-e-hū meñ āñsuoñ se bāġhbānī ne

    apnī āñkhoñ se musalsal ḳhūñ-fishānī ne

    muddatoñ mulk-e-suḳhan par hukmarānī ne

    ruuh mutlaq jazb thī goyā tire ehsās meñ

    quds ke naġhme nihāñ the parda-e-anfās meñ

    nutq ko ne diyā pairāya-e-soz-o-gudāz

    ḳhuun se kar ke vuzū ne paḌhī aksar namāz

    guuñj uTThā tere naġhmoñ se harīm-e-hsun-o-nāz

    aaj tak mahfūz hai har dil meñ terā soz-o-sāz

    ālam-e-bālā se ik paiġhām-e-nau laatā thā

    ruuh gahrā.iyoñ tak us ko pahuñchātā thā

    mai-kada thā terā yaksar soz mutlaq saaz bhī

    thī mai-a-hindī bhī sāġhar meñ mai-e-shīrāz bhī

    haqīqat fahm bhī thā āshnā-e-rāz bhī

    ruuh āvāz thī goyā tirī āvāz bhī

    naqsh-e-faryādī hai terī shoḳhi-e-tahrīr

    kāġhzī hai pairahan har paikar-e-tasvīr

    aah ḳhāk-e-hind meñ der se ḳhvābīda hai

    zīnat-e-har-bazm terā jalva-e-nā-dīda hai

    tere ġham meñ aaj bhī jān-e-suḳhan kāhīda hai

    hai tasarruf terā paidā aur poshīda hai

    soz terā aag ban kar bazm par chhā jā.egā

    sāz-e-hastī hashr tak tere naġhme gā.egā

    raazdan-e-zindagi ai tarjuman-e-zindagi

    hai tera har lafz zinda dastan-e-zindagi

    har tabassum se tere paida fughan-e-zindagi

    har fughan teri nashid-e-gulsitan-e-zindagi

    gulshan-e-husn-o-wafa ki aabiyari tujh se hai

    KHak ke zarron ko faKHr-e-taj-dari tujh se hai

    daur-e-mustaqbil pe duniya ke nigahen thin teri

    rahbar-e-rah-e-amal dil-doz aahen thin teri

    sina-e-ilm-e-haqiqat mein panahen thin teri

    arsh se bhi aur aage jalwa-gahen thin teri

    kaam tha tujh ko na mutlaq hasti-e-nakaam se

    thi nawa wabasta teri parda-e-ilham se

    falsafe ki KHubsurat tarjumani tu ne ki

    dasht-e-hu mein aansuon se baghbani tu ne ki

    apni aankhon se musalsal KHun-fishani tu ne ki

    muddaton mulk-e-suKHan par hukmarani tu ne ki

    ruh mutlaq jazb thi goya tere ehsas mein

    quds ke naghme nihan the parda-e-anfas mein

    nutq ko tu ne diya pairaya-e-soz-o-gudaz

    KHun se kar ke wuzu tu ne paDhi aksar namaz

    gunj uTTha tere naghmon se harim-e-hsun-o-naz

    aaj tak mahfuz hai har dil mein tera soz-o-saz

    aalam-e-baala se ek paigham-e-nau lata tha tu

    ruh ki gahraiyon tak us ko pahunchata tha tu

    mai-kada tha tera yaksar soz mutlaq saz bhi

    thi mai-a-hindi bhi saghar mein mai-e-shiraaz bhi

    tu haqiqat fahm bhi tha aashna-e-raaz bhi

    ruh ki aawaz thi goya teri aawaz bhi

    naqsh-e-faryaadi hai teri shoKHi-e-tahrir ka

    kaghzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka

    aah KHak-e-hind mein tu der se KHwabida hai

    zinat-e-har-bazm tera jalwa-e-na-dida hai

    tere gham mein aaj bhi jaan-e-suKHan kahida hai

    hai tasarruf tera paida aur tu poshida hai

    soz tera aag ban kar bazm par chha jaega

    saz-e-hasti hashr tak tere hi naghme gaega

    Source:

    Subh-e-Mashriq (Pg. e-75 p-74)

    • Author: Mohammad Sadiq Zia
      • Edition: 1938
      • Publisher: Maktaba Qasrul Adab, Aagra
      • Year of Publication: 1938

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now