moD
nikalnā daftaroñ se aur ghar ko lauT jaanā
yahī to zindagī hai aaj sab kī
vo koī dost yā mahbūb koī ho
sabhī ko jald manzil par pahuñchne kī paḌī hai
vo manzil kyā hai un ke ghar
jo haiñ ik ghoñsle jaise
ye chiḌiyoñ kī tarah ik saath daftar se nikalte haiñ
jo ek ik kar ke ek ik moḌ par kam hote jaate haiñ
aur āḳhir meñ yahī āvārgī bachtī hai mere saath hai jo
tumheñ samjhā rahā huuñ bas
mire ġhusse ko samjho tum
magar ġhussa nahīñ vājib
ki mumkin hī nahīñ duniyā ham āvāra logoñ kā koī bhī saath de paa.e
tumhārā saath bhī ik moḌ tak hai
nikalna daftaron se aur ghar ko lauT jaana
yahi to zindagi hai aaj sab ki
wo koi dost ya mahbub koi ho
sabhi ko jald manzil par pahunchne ki paDi hai
wo manzil kya hai un ke ghar
jo hain ek ghonsle jaise
ye chiDiyon ki tarah ek sath daftar se nikalte hain
jo ek ek kar ke ek ek moD par kam hote jate hain
aur aaKHir mein yahi aawargi bachti hai mere sath hai jo
tumhein samjha raha hun bas
mere ghusse ko samjho tum
magar ghussa nahin wajib
ki mumkin hi nahin duniya hum aawara logon ka koi bhi sath de pae
tumhaara sath bhi ek moD tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.