Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mufahamat

Akhtarul Iman

mufahamat

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    jab us bosa letā thā cigarette nathnoñ meñ ghus jaatī thī

    maiñ tambākū-noshī ko ik aib samajhtā aayā huuñ

    lekin ab maiñ aadī huuñ, ye merī zaat hissa hai

    vo bhī mere dāñtoñ bad-rañgī se mānūs hai, in aadī hai

    jab ham donoñ milte haiñ, lafzoñ se begāna se ho jaate haiñ

    kamre meñ kuchh sāñseñ aur pasīne buu, tanhā.ī rah jaatī hai!

    ham donoñ shāyad murda haiñ ehsās chashma sūkhā hai

    phir shāyad aisā hai ye afsāna bosīda hai

    dard-e-zeh se ziist yūñhī halkān taḌaptī rahtī hai

    na.e masīhā aate haiñ aur suulī par chaḌh jaate haiñ

    ik maTiyālā insān safoñ ko chiir ke aage baḌhtā hai aur mimbar se chillātā hai

    ham maslūb ke vāris haiñ ye ḳhuun hamārā virsa hai

    aur vo sab ādarsh, vo sab jo vaj.h-e-malāmat Thahrā thā

    is maTiyāle shaḳhs ke gahre me.ade meñ khup jaatā hai

    phir tafsīroñ aur tavīloñ shakl meñ bāhar aatā hai

    ye tāvīleñ majbūroñ ik mauhūm sahārā haiñ

    shāyad sab sahārā haiñ

    yūñhī meñ ādarsh insān juuyā huuñ

    sab sapne dekhte haiñ ḳhvāboñ meñ havā meñ uḌte haiñ

    phir ik manzil aatī hai jab phuuT phuuT kar rote haiñ

    shāḳhoñ tarah TūTte haiñ

    ik rūh-e-jān-o-dil ko jo duniyā meñ sab se baḌh kar hai lete haiñ

    phir us se nafrat karte haiñ go phir bhī mohabbat karte haiñ!

    maiñ us se nafrat kartā huuñ vo mujh ko niich samajhtī hai

    lekin jab ham milte haiñ tanhā.ī meñ tārīkī meñ

    donoñ aise ho jaate haiñ jaise āġhushta miTTī haiñ

    nafrat zam ho jaatī hai ik sannāTā rah jaatā hai

    sannāTā taḳhlīq-e-zamīñ ke ba.ad jo har-sū taarī thā

    ham donoñ TūTte rahte haiñ jaise ham kachchī shāḳheñ haiñ

    ḳhvāboñ zikr nahīñ karte donoñ ne kabhī jo dekhte the

    ḳhushiyoñ zikr nahīñ karte jo kab supurd-e-ḳhāk huiiñ

    bas donoñ TūTte rahte haiñ

    maiñ bāda-noshī par maa.il huuñ, vo cigarette piitī rahtī hai

    ik sannāTe chādar meñ ham donoñ lipTe jaate haiñ

    ham donoñ TūTte rahte haiñ jaise ham kachchī shāḳheñ haiñ!

    jab us ka bosa leta tha cigarette ki bu nathnon mein ghus jati thi

    main tambaku-noshi ko ek aib samajhta aaya hun

    lekin ab main aadi hun, ye meri zat ka hissa hai

    wo bhi mere danton ki bad-rangi se manus hai, in ki aadi hai

    jab hum donon milte hain, lafzon se begana se ho jate hain

    kamre mein kuchh sansen aur pasine ki bu, tanhai rah jati hai!

    hum donon shayad murda hain ehsas ka chashma sukha hai

    ya phir shayad aisa hai ye afsana bosida hai

    dard-e-zeh se zist yunhi halkan taDapti rahti hai

    nae masiha aate hain aur suli par chaDh jate hain

    ek maTiyala insan safon ko chir ke aage baDhta hai aur mimbar se chillata hai

    hum maslub ke waris hain ye KHun hamara wirsa hai

    aur wo sab aadarsh, wo sab jo wajh-e-malamat Thahra tha

    is maTiyale shaKHs ke gahre meade mein khup jata hai

    phir tafsiron aur tawilon ki shakl mein bahar aata hai

    ye tawilen majburon ka ek mauhum sahaara hain

    ya shayad sab ka sahaara hain

    yunhi mein aadarsh insan ka juya hun

    sab hi sapne dekhte hain KHwabon mein hawa mein uDte hain

    phir ek manzil aati hai jab phuT phuT kar rote hain

    shaKHon ki tarah TuTte hain

    ek ruh-e-jaan-o-dil ko jo duniya mein sab se baDh kar hai pa lete hain

    phir us se nafrat karte hain go phir bhi mohabbat karte hain!

    main us se nafrat karta hun wo mujh ko nich samajhti hai

    lekin jab hum milte hain tanhai mein tariki mein

    donon aise ho jate hain jaise aaghushta miTTi hain

    nafrat zam ho jati hai ek sannaTa rah jata hai

    sannaTa taKHliq-e-zamin ke baad jo har-su tari tha

    hum donon TuTte rahte hain jaise hum kachchi shaKHen hain

    KHwabon ka zikr nahin karte donon ne kabhi jo dekhte the

    KHushiyon ka zikr nahin karte jo kab ki supurd-e-KHak huin

    bas donon TuTte rahte hain

    main baada-noshi par mail hun, wo cigarette piti rahti hai

    ek sannaTe ki chadar mein hum donon lipTe jate hain

    hum donon TuTte rahte hain jaise hum kachchi shaKHen hain!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now