Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mulaqaten nahin phir bhi mulaqaten

Ain Tabish

mulaqaten nahin phir bhi mulaqaten

Ain Tabish

MORE BYAin Tabish

    subū TuuTe

    mohabbat namāzoñ meñ

    vazū TuuTe

    duā roī

    duā ke āsmānoñ par

    ka.ī chashmān o lab ro.e

    kabhī koī sabab rone niklā hai

    magar ham be-sabab ro.e

    zamīnoñ aur zamānoñ ajab

    rañjū gardish meñ

    havā ke āstāne par

    jhukā.e sar pashīmāñ be-zabāñ

    tanhā.iyoñ ke qāfile utre

    vahī ham the

    mujassam bandagī zaḳhmī tamāshe ke nishāne par

    kabhī sahme hue ḳhvāhish

    retīlī fazāoñ meñ

    tumheñ dekhā tumheñ chāhā

    kabhī mausam-e-farāmoshī ke narġhe meñ

    udāsī fasīloñ par

    azān-e-ḳhud-kalāmī

    tumhāre fāsloñ ko apnī mahrūmī ḳhalvat meñ

    biThāyā bām-o-dar ko

    ajnabiyat ke sitāroñ se sajāyā

    vahī ham the

    hamārī baat ke raqs-e-junūñ meñ

    kho diyā tum ko

    vahī tum the

    vidā-e-lamha-e-ta.ajīl ḳhātir

    thake TuuTe hue aa kar lipaT jaane

    ḳhvāhish meñ

    bikharte apnī āñkhoñ ke muqaddas motiyoñ meñ

    lamha-e-āḳhir guzar jaane dhun meñ

    umr-bhar ḳhud se gurezāñ rah ga.e

    ham tum hijāb-e-nā-shanāsā.ī ke

    mujrim ban ga.e

    har fāsla kitne adhūre fāsloñ

    isti.āra hai

    samundar dekh terī āstīnoñ meñ

    fuġhāñ kartā kināra hai

    mulāqāteñ, nahīñ phir bhī mulāqāteñ

    mulāqātoñ kuchh ummīd baaqī rah na jaa.e

    ashk ik āḳhirī qatra bhī

    yūñhī bah na jaa.e

    subu TuTe

    mohabbat ki namazon mein

    wazu TuTe

    dua roi

    dua ke aasmanon par

    kai chashman o lab roe

    kabhi koi sabab rone ka nikla hai

    magar hum be-sabab roe

    zaminon aur zamanon ki ajab

    ranju gardish mein

    hawa ke aastane par

    jhukae sar pashiman be-zaban

    tanhaiyon ke qafile utre

    wahi hum the

    mujassam bandagi zaKHmi tamashe ke nishane par

    kabhi sahme hue KHwahish ki

    retili fazaon mein

    tumhein dekha tumhein chaha

    kabhi mausam-e-faramoshi ke narghe mein

    udasi ki fasilon par

    azan-e-KHud-kalami di

    tumhaare faslon ko apni mahrumi ki KHalwat mein

    biThaya baam-o-dar ko

    ajnabiyat ke sitaron se sajaya

    wahi hum the

    hamari baat ke raqs-e-junun mein

    kho diya tum ko

    wahi tum the

    wida-e-lamha-e-tajil ki KHatir

    thake TuTe hue aa kar lipaT jaane

    ki KHwahish mein

    bikharte apni aankhon ke muqaddas motiyon mein

    lamha-e-aKHir guzar jaane ki dhun mein

    umr-bhar KHud se gurezan rah gae

    hum tum hijab-e-na-shanasai ke

    mujrim ban gae

    har fasla kitne adhure faslon ka

    istiara hai

    samundar dekh teri aastinon mein

    fughan karta kinara hai

    mulaqaten, nahin phir bhi mulaqaten

    mulaqaton ki kuchh ummid baqi rah na jae

    ashk ka ek aaKHiri qatra bhi

    yunhi bah na jae

    Source:

    dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 35)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now