mushkil kaam

Ashfaq Husain

mushkil kaam

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

  hamesha tarah

  tum aaj bhī achchhī ho

  lekin kal bahut achchhī thiiñ

  aur vo kal

  mirī yādoñ hissa hai

  vahī jo kal thā

  vo hai aaj

  lekin farq itnā hai

  tumhārī jhiil āñkhoñ meñ

  mere naam

  koī kañval khiltā nahīñ

  tumhāre hoñT

  merā naam dohrāte nahīñ haiñ

  rifāqat aur chāhat

  koī bhī giit

  ab gaate nahīñ haiñ

  maiñ

  kal aur aaj duniyāoñ meñ

  khoyā huā insāñ

  kal ko bhūlnā chāhūñ

  to us bhūlnā mushkil hai

  nā-mumkin nahīñ hai

  so maiñ

  tanhā.ī ke lamhoñ meñ

  mushkil kaam karnā chāhtā huuñ

  maiñ nā-mumkin ko

  mumkin hadoñ meñ qaid karnā chāhtā huuñ

  hamesha ki tarah

  tum aaj bhi achchhi ho

  lekin kal bahut achchhi thin

  aur wo kal

  meri yaadon ka hissa hai

  wahi jo kal tha

  wo hai aaj

  lekin farq itna hai

  tumhaari jhil si aankhon mein

  mere nam ka

  koi kanwal khilta nahin

  tumhaare honT

  mera nam dohraate nahin hain

  rifaqat aur chahat ka

  koi bhi git

  ab gate nahin hain

  main

  kal aur aaj ki duniyaon mein

  khoya hua insan

  kal ko bhulna chahun

  to us ka bhulna mushkil hai

  na-mumkin nahin hai

  so main

  tanhai ke lamhon mein

  mushkil kaam karna chahta hun

  main na-mumkin ko

  mumkin ki hadon mein qaid karna chahta hun

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY