muskurātī huī fazā ho tum
muskurātī huī fazā ho tum
gungunātī huī havā ho tum
sard lamhoñ meñ ghul rahī jaise
reshmī dhuup kī adā ho tum
shaam ho jaise jugnuoñ se bharī
yā shab-e-vasl kī sadā ho tum
āsmāñ hai yā tumhārā āñchal
ye ghaTā hai yā tumhārā kājal
adh-jagī raat meñ bārish jaise
chhanchhanātī hai tumhārī paa.el
ye sabā hai yā terī ḳhushbū hai
ye nasha hai yā terā jaadū hai
hai tirā husn zindagī merī
hai tirā 'ishq bandagī merī
tujh se ye kā.enāt raushan hai
tujh se merī hayāt raushan hai
maiñ jo dil huuñ tū merī dhaḌkan hai
tū mirā zarf tū mirā fan hai
merī sāñsoñ meñ justujū terī
merī āñkhoñ meñ aarzū terī
tū mirī chāhatoñ kā manzar hai
maiñ huuñ sahrā to tū samundar hai
maiñ ḳhvāb huuñ tū rang hai shāyad
tū mere sang sang hai shāyad
muskuraati hui faza ho tum
muskuraati hui faza ho tum
gungunati hui hawa ho tum
sard lamhon mein ghul rahi jaise
reshmi dhup ki ada ho tum
sham ho jaise jugnuon se bhari
ya shab-e-wasl ki sada ho tum
aasman hai ya tumhaara aanchal
ye ghaTa hai ya tumhaara kajal
adh-jagi raat mein barish jaise
chhanchhanati hai tumhaari pael
ye saba hai ya teri KHushbu hai
ye nasha hai ya tera jadu hai
hai tera husn zindagi meri
hai tera 'ishq bandagi meri
tujh se ye kaenat raushan hai
tujh se meri hayat raushan hai
main jo dil hun tu meri dhaDkan hai
tu mera zarf tu mera fan hai
meri sanson mein justuju teri
meri aankhon mein aarzu teri
tu meri chahaton ka manzar hai
main hun sahra to tu samundar hai
main KHwab hun tu rang hai shayad
tu mere sang sang hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.