Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na marne ka dukh

Aabid Adeeb

na marne ka dukh

Aabid Adeeb

MORE BYAabid Adeeb

    koī mere larazte haath meñ

    kāġhaz purza aur qalam pakḌā rahā thā

    kabhī kuchh zer-e-lab baḌbaḌā kar

    koī isbāt meñ

    āñkhoñ aur māthe jumbish chāhtā thā

    kabhī dāñtoñ meñ hoñToñ ko dabā kar

    koī rone koshish kar rahā thā

    koī to chand lamhoñ ba.ad apne

    baal bikhrāne garebāñ nochne fikr meñ thā

    koī ġhamgīñ chehra aur siyāh malbūs meñ

    behad hasīñ ma.alūm detā thā

    mere ajdād ke nāmoñ ko gañvā kar

    koī mujh se ta.alluq joḌtā thā

    sabhī nazdīk the mere

    udhar bhaa.ī bhatīje the

    udhar bahneñ thiiñ bhānje the

    phir un ke ba.ad

    rishte joḌne vaale saf-ārā the

    ye lagtā thā ki kuchh der meñ

    mātam bapā hogā

    maiñ un bātoñ se

    bistar par paḌā

    āñkhoñ ko thoḌī khulī rakh kar

    baḌe dilchasp muuD meñ thā

    sabhī ġhamgīn the lekin

    tamannā.eñ thiiñ āñkhoñ meñ

    yakāyak maiñ ne karvaT

    aur āñkheñ khol kar uThne koshish

    to dekhā

    sabhī ke lab pe masnūī hañsī thī

    chamak āñkhoñ se ġhā.eb thī

    koi mere larazte hath mein

    kaghaz ka purza aur qalam pakDa raha tha

    kabhi kuchh zer-e-lab hi baDbaDa kar

    koi isbaat mein

    aankhon ki aur mathe ki jumbish chahta tha

    kabhi danton mein honTon ko daba kar

    koi rone ki koshish kar raha tha

    koi to chand lamhon baad apne

    baal bikhrane gareban nochne ki fikr mein tha

    koi ghamgin chehra aur siyah malbus mein

    behad hasin malum deta tha

    mere ajdad ke namon ko ganwa kar

    koi mujh se talluq joDta tha

    sabhi nazdik the mere

    udhar bhai bhatije the

    udhar bahnen thin bhanje the

    phir un ke baad

    rishte joDne wale saf-ara the

    ye lagta tha ki kuchh hi der mein

    matam bapa hoga

    main un baaton se

    bistar par paDa

    aankhon ko thoDi si khuli rakh kar

    baDe dilchasp muD mein tha

    sabhi ghamgin the lekin

    tamannaen thin aankhon mein

    yakayak main ne karwaT li

    aur aankhen khol kar uThne ki koshish ki

    to dekha

    sabhi ke lab pe masnui hansi thi

    chamak aankhon se ghaeb thi

    Source:

    Shuwaz (Pg. 70)

    • Author: Aabid Adeeb
      • Publisher: Shahid Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now