Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-umidi kufr hai

Anjum Azmi

na-umidi kufr hai

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    tum jo maġhrib jugālī se kabhī thakte nahīñ

    tum ko kyā ma.alūm hai taḳhlīq jauhar kahāñ

    falsafī bante ho apne aap se pūchho kabhī

    kho gayā hai ruuh gauhar kahāñ

    tum dil-o-jāñ se mashriq parastārī karo

    kyā barahman ke sivā kuchh aur ho

    kyā kisī mashriq-o-maġhrib meñ dildārī huī

    bhuuk se behāl haiñ jo un ġham-ḳhvārī huī

    adl mīzān jab TuuTī paḌī ho darmiyāñ

    zindagī saarī saarī riyā-kārī huī

    maġhrib-o-mashriq saarī bahs meñ tum nā-umīdī ke sivā kyā de sake

    nā-umīdī kufr hai

    kufr se bachte bhī aur kufr karte ho tum

    tum to maazī haal o mustaqbil ke bhī qaa.il nahīñ

    dil kahe kuchh bhī magar tum is taraf maa.il nahīñ

    vo jo mutlaq hai tumhāre vāste saare zamāne de gayā

    tum batāo tum ne ab tak kyā kiyā

    nā-umīdī kufr hai kufr karte ho tum

    dil meñ gar raushan ho us din ummīd

    justujū tum ko jab apne aap se milvā.egī

    zindagī karne ko pyāre shash-jihat khul jā.egī

    tum jo maghrib ki jugali se kabhi thakte nahin

    tum ko kya malum hai taKHliq ka jauhar kahan

    falsafi bante ho apne aap se puchho kabhi

    kho gaya hai ruh ka gauhar kahan

    tum dil-o-jaan se mashriq ki parastari karo

    kya barahman ke siwa kuchh aur ho

    kya kisi ki mashriq-o-maghrib mein dildari hui

    bhuk se behaal hain jo un ki gham-KHwari hui

    adl ki mizan jab TuTi paDi ho darmiyan

    zindagi sari ki sari hi riya-kari hui

    maghrib-o-mashriq ki sari bahs mein tum na-umidi ke siwa kya de sake

    na-umidi kufr hai

    kufr se bachte bhi aur kufr hi karte ho tum

    tum to mazi haal o mustaqbil ke bhi qail nahin

    dil kahe kuchh bhi magar tum is taraf mail nahin

    wo jo mutlaq hai tumhaare waste sare zamane de gaya

    tum batao tum ne ab tak kya kiya

    na-umidi kufr hai kufr hi karte ho tum

    dil mein gar raushan ho us din ki ummid

    justuju tum ko jab apne aap se milwaegi

    zindagi karne ko pyare shash-jihat khul jaegi

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 109)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now