nadi ban gai jhil
uḌte uḌte
jaise parindoñ ke par kaT ga.e
dariyāoñ meñ
sahrāoñ meñ
yā shahroñ kī god meñ gir kar
ho ga.e vo
badnām
jhūmte gaate
pattoñ ne
shāḳhoñ kā chhoḌā saath
rang ruup se toḌ ke rishta
phūloñ kī pankhuḌiyāñ bikhrīñ
mar kar
chāroñ or
dhartī
chhoḌ chukī hai mehvar
uttar
dakhkhin
pūrab
pachchhim niilā hai ākāsh
ruk ga.iiñ chalte chalte havā.eñ
sākit saare log
lamhoñ kī piiTh pe chābuk maaro
harakat kī koī sabīl
bahte bahte
ab to
dekho
nadī ban ga.ī jhiil
uDte uDte
jaise parindon ke par kaT gae
dariyaon mein
sahraon mein
ya shahron ki god mein gir kar
ho gae wo
badnam
jhumte gate
patton ne
shaKHon ka chhoDa sath
rang rup se toD ke rishta
phulon ki pankhuDiyan bikhrin
mar kar
chaaron or
dharti
chhoD chuki hai mehwar
uttar
dakhkhin
purab
pachchhim nila hai aakash
ruk gain chalte chalte hawaen
sakit sare log
lamhon ki piTh pe chabuk maro
harakat ki koi sabil
bahte bahte
ab to
dekho
nadi ban gai jhil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.