nai nasl ke nam
ab tanāvar daraḳht kitne haiñ
uñgliyoñ par maiñ gin ke batlā duuñ
shahr to ḳhālī hotā jaatā hai
in muqaddas qadīm peḌoñ se
jin ke saa.e meñ gyaan miltā hai
is se pahle ki ye jo baaqī haiñ
ikkā-dukkā ghane purāne peḌ
in kā saaya bhī sar se uTh jaa.e
aur in kī jagah buland-tarīn
ik 'imārat kahīñ se ug aa.e
merā sanjīda mashvara ye hai
thoḌī zahmat kiyā karo pyāre
tum ghaḌī do ghaḌī vahāñ jā kar
oxygen liyā karo pyāre
is meñ kuchh ḳharch to nahīñ hotā
ab tanawar daraKHt kitne hain
ungliyon par main gin ke batla dun
shahr to KHali hota jata hai
in muqaddas qadim peDon se
jin ke sae mein gyan milta hai
is se pahle ki ye jo baqi hain
ikka-dukka ghane purane peD
in ka saya bhi sar se uTh jae
aur in ki jagah buland-tarin
ek 'imarat kahin se ug aae
mera sanjida mashwara ye hai
thoDi zahmat kiya karo pyare
tum ghaDi do ghaDi wahan ja kar
oxygen liya karo pyare
is mein kuchh KHarch to nahin hota
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 161)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.