Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya insan nai fikr

Payam Fatehpuri

naya insan nai fikr

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    besh-az-la.al-o-gohar naqd-o-nazar le jaao

    jo mire sher meñ hai ḳhūn-e-jigar le jaao

    dil māyūs fazāoñ meñ ujālā kar do

    mere afkār tābinda sahar le jaao

    mazhab-o-nasl tafrīq miTā do dil se

    merā jazba mirā dil merī nazar le jaao

    ḳhirman-e-jaur-o-ta.assub ko jalā do yaksar

    ātish o sho.ala o sad barq-o-sharar le jaao

    sub.h ke nuur se rātoñ muqaddar badlo

    zulmat-e-shab hai jahāñ shams-o-qamar le jaao

    kisī insān ko nafrat se na dekho hargiz

    merī āñkhoñ se mohabbat nazar le jaao

    manzileñ ā.eñgī ḳhud baḌh ke qadam chūmeñgī

    koī manzil ho mirā azm-e-safar le jaao

    aaj insāñ ḳhudā nahīñ maz.hab bhī hai ek

    na.e insāñ se na.ī fikr-o-nazar le jaao

    muntazir hai na.ī tārīḳh sañvarne ke liye

    merā jazba mirā tesha mirā sar le jaao

    besh-az-lal-o-gohar naqd-o-nazar le jao

    jo mere sher mein hai KHun-e-jigar le jao

    dil ki mayus fazaon mein ujala kar do

    mere afkar ki tabinda sahar le jao

    mazhab-o-nasl ki tafriq miTa do dil se

    mera jazba mera dil meri nazar le jao

    KHirman-e-jaur-o-tassub ko jala do yaksar

    aatish o shoala o sad barq-o-sharar le jao

    subh ke nur se raaton ka muqaddar badlo

    zulmat-e-shab hai jahan shams-o-qamar le jao

    kisi insan ko nafrat se na dekho hargiz

    meri aankhon se mohabbat ki nazar le jao

    manzilen aaengi KHud baDh ke qadam chumengi

    koi manzil ho mera azm-e-safar le jao

    aaj insan ka KHuda hi nahin mazhab bhi hai ek

    nae insan se nai fikr-o-nazar le jao

    muntazir hai nai tariKH sanwarne ke liye

    mera jazba mera tesha mera sar le jao

    Source:

    Abru Bad (Pg. 23)

    • Author: Payam Fatehpuri
      • Publisher: Razzaaqii press, Kanpur
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now