Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya istiara

Shahnaz Nabi

naya istiara

Shahnaz Nabi

MORE BYShahnaz Nabi

    use dekhte

    tamāzat ehsās baḌhne lagā hai

    ye dīvāreñ kaisī uThā.ī ga.ī thiiñ

    ki jin bulandī

    hamāre saroñ se churā le ga.ī chhat

    ye dahlīz kin pattharoñ se banī thī

    ki jis ko kabhī paar karne himmat nahīñ thī kisī meñ

    ye ghar kaisā ghar hai

    ki dīvār-o-dar is meñ be-intihā haiñ

    ye bāhar rasta nahīñ shart koī

    na saaya hai us ke muqaddar likkhā

    faqat chilchilātī huī dhuup detī hai pahra

    ye be-sā.ebāñ ghar

    ki jis se kabhī kuchh shikāyat nahīñ thī

    ise kyoñ malāmat se takne lage haiñ

    koī abr-pāra

    koī shāḳh-e-zaitūn

    agar hai bhī sar par to bas ek lamha

    tamāzat jaise nayā isti.āra

    use dekhte hi

    tamazat ka ehsas baDhne laga hai

    ye diwaren kaisi uThai gai thin

    ki jin ki bulandi

    hamare saron se chura le gai chhat

    ye dahliz kin pattharon se bani thi

    ki jis ko kabhi par karne ki himmat nahin thi kisi mein

    ye ghar kaisa ghar hai

    ki diwar-o-dar is mein be-intiha hain

    ye bahar ka rasta nahin shart koi

    na saya hai us ke muqaddar ka likkha

    faqat chilchilati hui dhup deti hai pahra

    ye be-saeban ghar

    ki jis se kabhi kuchh shikayat nahin thi

    ise kyon malamat se takne lage hain

    koi abr-para

    koi shaKH-e-zaitun

    agar hai bhi sar par to bas ek lamha

    tamazat ka jaise naya istiara

    Source:

    (Pg. 90)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now