naya nizam
nayā nizām nayā intizām aa.egā
nayā tarīqa nayā insirām aa.egā
sañbhal sañbhal ke raho ġhaflatoñ se ho bedār
jo aa rahā hai vo ik izhdihām aa.egā
vahī nahīñ hai jo dikhtā hai tum ko āñkhoñ se
hazār pardoñ meñ ik iltizām aa.egā
sunā hai murġh-e-chaman kah rahā thā ye ro ke
chaman meñ naqlī koī mushk-fām aa.egā
sabhī hī hoñge be-parda na koī satr rahe
yahāñ pe parda-shikan tezgām aa.egā
har ek chiiz majāzī kitāb zar sarvat
hamāre daur kā bas iḳhtitām aa.egā
jo vaz' hoñge tarīqe na.e na.e aqdār
rivāj-o-rasm pe sab inhidām aa.egā
na vo tarīq-e-ta’allum na hoñgī dānish-gāh
yahāñ pe daur-e-majāz-o-mashām aa.egā
zavāl-e-mardumī ab hai navishta-e-dīvār
qadam qadam pe vo ab mustadām aa.egā
agar jo chāho to kah lo ki 'ahd-e-dajjālī
sukūñ ke parde meñ sad ehtimām aa.egā
hamārā daur hai ik daur-e-hā.ilī yaaro
yahīñ se ibtidā-o-iḳhtitām aa.egā
shurūr-o-nekī ke advār aate rahte haiñ
ruḳhoñ pe ashk kabhī ibtisām aa.egā
naya nizam naya intizam aaega
naya tariqa naya insiram aaega
sanbhal sanbhal ke raho ghaflaton se ho bedar
jo aa raha hai wo ek izhdiham aaega
wahi nahin hai jo dikhta hai tum ko aankhon se
hazar pardon mein ek iltizam aaega
suna hai murgh-e-chaman kah raha tha ye ro ke
chaman mein naqli koi mushk-fam aaega
sabhi hi honge be-parda na koi satr rahe
yahan pe parda-shikan tezgam aaega
har ek chiz majazi kitab zar sarwat
hamare daur ka bas iKHtitam aaega
jo waz' honge tariqe nae nae aqdar
riwaj-o-rasm pe sab inhidam aaega
na wo tariq-e-ta’allum na hongi danish-gah
yahan pe daur-e-majaz-o-masham aaega
zawal-e-mardumi ab hai nawishta-e-diwar
qadam qadam pe wo ab mustadam aaega
agar jo chaho to kah lo ki 'ahd-e-dajjali
sukun ke parde mein sad ehtimam aaega
hamara daur hai ek daur-e-haili yaro
yahin se ibtida-o-iKHtitam aaega
shurur-o-neki ke adwar aate rahte hain
ruKHon pe ashk kabhi ibtisam aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.