aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya sal

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    raat uḌtī huī raakh se bojhal hai nasīm

    yuuñ asā Tek ke chaltī hai ki rahm aatā hai

    saañs letī hai daraḳhtoñ sahārā le kar

    aur jab us ke libāde se lipaT kar koī

    patta girtā hai to patthar luḌhak jaatā hai

    shāḳheñ hāthoñ meñ liye kitnī adhūrī kaliyāñ

    māñgtī haiñ faqat ik narm jumbish duā

    aisā chup-chāp hai sañvlā.ī huī sub.h meñ shahr

    jaise mābad kisī murjhā.e hue maz.hab

    sar pe apnī shikastoñ ko uThā.e hue log

    ik dorāhe pe girohoñ meñ khaḌe haiñ tanhā

    yak-ba-yak fāsle tāñbe tarah bajne lage

    qadam uThte haiñ to zarre bhī sadā dene lage

    dard ke pairhan-e-chāk se jhāñko to zarā

    murda sūraj pe laTakte hue maile bādal

    kisī tūfān aamad patā dete haiñ!

    raat ki uDti hui rakh se bojhal hai nasim

    yun asa Tek ke chalti hai ki rahm aata hai

    sans leti hai daraKHton ka sahaara le kar

    aur jab us ke libaade se lipaT kar koi

    patta girta hai to patthar sa luDhak jata hai

    shaKHen hathon mein liye kitni adhuri kaliyan

    mangti hain faqat ek narm si jumbish ki dua

    aisa chup-chap hai sanwlai hui subh mein shahr

    jaise mabad kisi murjhae hue mazhab ka

    sar pe apni hi shikaston ko uThae hue log

    ek dorahe pe girohon mein khaDe hain tanha

    yak-ba-yak fasle tanbe ki tarah bajne lage

    qadam uThte hain to zarre bhi sada dene lage

    dard ke pairhan-e-chaak se jhanko to zara

    murda suraj pe laTakte hue maile baadal

    kisi tufan ki aamad ka pata dete hain!

    Source:

    kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 243)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now