nazm
aur sūraj
ġhaar se bāhar na niklā
ham ne samjhā mar chukā hai
raat kaalī raat
ā’sābī thakan ko duur karne kā bahāna
raat ko apne bāzuoñ meñ sameTā
der tak bose liye
niiñd ke bistar par
magar jab aañkh kholī
sūraj zinda thā
sūraj hañs rahā thā
ham ne uThnā chāhā
lekin hamārī ragoñ meñ ḳhuun jam chukā thā
hamāre ā'sāb patthar ban chuke the
sirf āñkheñ rah ga.ī thiiñ
āñkheñ jo
tez chamaktī dhuup meñ
hamārī tabāhī kā manzar
dekh rahī thiiñ
aur suraj
ghaar se bahar na nikla
hum ne samjha mar chuka hai
raat kali raat
aa’sabi thakan ko dur karne ka bahana
raat ko apne bazuon mein sameTa
der tak bose liye
nind ke bistar par
magar jab aankh kholi
suraj zinda tha
suraj hans raha tha
hum ne uThna chaha
lekin hamari ragon mein KHun jam chuka tha
hamare aa'sab patthar ban chuke the
sirf aankhen rah gai thin
aankhen jo
tez chamakti dhup mein
hamari tabahi ka manzar
dekh rahi thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.