Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm ko nazm ke haal par chhoD do

Bilal Aswad

nazm ko nazm ke haal par chhoD do

Bilal Aswad

MORE BYBilal Aswad

    ibtidā se kabhī nazm hotī nahīñ

    aur kabhī ibtidā se bhī pahle kahīñ

    nazm hone ke āsār milte haiñ

    jaise kahīñ qabl az zindagī

    zindagī ke tasavvur se pahle

    magar zindagī se bhī behtar

    barāmad huī koī tahzīb

    tahzīb miltī to hai

    par kabhī ibtidā us miltī nahīñ

    ibtidā se bhī pahle

    talak zehn jaatā nahīñ

    aur tahzīb se lenā-denā bhī kyā

    nazm ibtidā nuun se

    nuun legī nahīñ

    ye hurūf-e-tahajjī ik rukn hai

    jiim se jism

    che se chamak

    Daal se DālDā

    scene se siin uupar ke tiin

    vaav se vahm

    jo kis qadar aham hai

    nazm ke vast meñ

    jo ki hotā nahīñ

    dā.era to nahīñ

    triangle nahīñ

    hexagonal nahīñ

    ḳhat nahīñ wave hai

    ya.anī āvāz jaisī koī chiiz hai

    magnet tarah koī shai hai

    havā koī mo.āmla hai

    koī current hai

    jis ke lagne se bhī

    nazm martī nahīñ

    nazm intihā kyoñ ki hotī nahīñ

    ḳhatm ho jaatī hai beach meñ kahīñ

    jis tarah kuchh javāñ-marg

    intihā par pahuñch kar bhī tishna rahtī hai

    jaise

    vo sab zinda lāsheñ ki jo maut date ke baad bhī rahī haiñ

    davā apnī muddat mukammal kiye ek bīmār gāhak rah dekhtī hai

    ye paanī lālach bahut baḌh ga.ī hai jo tanki ko bhar kar labālab baqāyā dīvāroñ buniyād meñ chhoḌ dete haiñ

    bijlī ke aane vaqt aa bhī jaa.e magar in apnī ghaḌī hai

    nijī daftaroñ ke mulāzim chhuTTī ke auqāt hote haiñ lekin use der tak baiThne aur biThāne meñ koī qabāhat nahīñ hai

    sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ

    ibtida se kabhi nazm hoti nahin

    aur kabhi ibtida se bhi pahle kahin

    nazm hone ke aasar milte hain

    jaise kahin qabl az zindagi

    zindagi ke tasawwur se pahle

    magar zindagi se bhi behtar

    baramad hui koi tahzib

    tahzib milti to hai

    par kabhi ibtida us ki milti nahin

    ibtida se bhi pahle

    talak zehn jata nahin

    aur tahzib se lena-dena bhi kya

    nazm ki ibtida nun se

    nun legi nahin

    ye huruf-e-tahajji ka ek rukn hai

    jim se jism

    che se chamak

    Dal se DalDa

    scene se sin upar ke tin

    waw se wahm

    jo kis qadar aham hai

    nazm ke wast mein

    jo ki hota nahin

    daera to nahin

    triangle nahin

    hexagonal nahin

    KHat nahin wawe hai

    yani aawaz jaisi koi chiz hai

    magnet ki tarah koi shai hai

    hawa sa koi moamla hai

    koi current hai

    jis ke lagne se bhi

    nazm marti nahin

    nazm ki intiha kyon ki hoti nahin

    KHatm ho jati hai beach mein hi kahin

    jis tarah kuchh jawan-marg

    ya intiha par pahunch kar bhi tishna hi rahti hai

    jaise

    wo sab zinda lashen ki jo maut ki date ke baad bhi ji rahi hain

    dawa apni muddat mukammal kiye ek bimar gahak ki rah dekhti hai

    ye pani ki lalach bahut baDh gai hai jo tanki ko bhar kar labaalab baqaya diwaron ki buniyaad mein chhoD dete hain

    bijli ke aane ka waqt aa bhi jae magar in ki apni ghaDi hai

    niji daftaron ke mulazim ki chhuTTi ke auqat hote hain lekin use der tak baiThne aur biThane mein koi qabahat nahin hai

    sitaron se aage jahan aur bhi hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now