nazm
na tum rahoge na ham raheñge
hamāre naqsh-e-qadam raheñge
hamārī nekī kī lau rahegī
hamāre dāġh-e-sitam raheñge
raheñge kab tak yuuñ sar-nigūñ ham
kahāñ talak ye sanam raheñge
ye jāh-o-'azmat ke jhūTe paikar
kahāñ talak mohtaram raheñge
yazīdiyat kā chalan vahī hai
jhukeñge sar yā qalam raheñge
'alam jo haq kā uThā.e hoñge
vo har zamāne meñ kam raheñge
uThā.e palkoñ pe ghūmnā hai
zamīñ pe vo kal-‘adam raheñge
'ajīb fitrat hai haq-navā kī
dabeñge aur tāza-dam raheñge
jo haar baiThegī zabt-e-ḳhilqat
'sabā' kahāñ phir bharam raheñge
na tum rahoge na hum rahenge
hamare naqsh-e-qadam rahenge
hamari neki ki lau rahegi
hamare dagh-e-sitam rahenge
rahenge kab tak yun sar-nigun hum
kahan talak ye sanam rahenge
ye jah-o-'azmat ke jhuTe paikar
kahan talak mohtaram rahenge
yazidiyat ka chalan wahi hai
jhukenge sar ya qalam rahenge
'alam jo haq ka uThae honge
wo har zamane mein kam rahenge
uThae palkon pe ghumna hai
zamin pe wo kal-‘adam rahenge
'ajib fitrat hai haq-nawa ki
dabenge aur taza-dam rahenge
jo haar baiThegi zabt-e-KHilqat
'saba' kahan phir bharam rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.