Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYWahab Nazish

    raat añdherī thī sunsān thī aur maiñ

    tang-o-tārīk galiyoñ se hotā huā

    ajnabī se ḳhayāloñ meñ khoyā huā

    ek aise nagar ke pahuñchā jahāñ

    sarsarāte daraḳhtoñ ne phunkārtī vahshatoñ ne mirā ḳhair-maqdam kiyā

    chand lamhe ḳhamoshī meñ guzre magar

    phir achānak kahīñ se koī naġhma-e-ġham sunā.ī diyā

    merī nazreñ sadā ke ta'āqub meñ pahuñchīñ bahut duur tak

    aur girtā sañbhaltā muġhannī talak maiñ pahuñch gayā

    paas us ke thī ek qindīl jaltī huī

    ḳhaak ke ek tuude pe chādar shagufta se phūloñ thī

    aur bhī an-ginat ḳhaak ke Dher the

    maiñ ki kuchh bolnā chāhtā thā magar

    us ne merī taraf kuchh tavajjoh na

    jaane kyā baat thī

    phir sahar ho ga.ī

    aur maiñ ek goshe meñ gum-sum yahī sochtā rah gayā

    kis qadar jāñ-fazā hai yahāñ fazā

    kyoñ na har roz aatā rahūñ maiñ yahāñ

    ek din is nagar meñ hamesha hamesha ko aanā hai

    raat andheri thi sunsan thi aur main

    tang-o-tarik galiyon se hota hua

    ajnabi se KHayalon mein khoya hua

    ek aise nagar ja ke pahuncha jahan

    sarsaraate daraKHton ne phunkarti wahshaton ne mera KHair-maqdam kiya

    chand lamhe KHamoshi mein guzre magar

    phir achanak kahin se koi naghma-e-gham sunai diya

    meri nazren sada ke ta'aqub mein pahunchin bahut dur tak

    aur girta sanbhalta mughanni talak main pahunch hi gaya

    pas hi us ke thi ek qindil jalti hui

    KHak ke ek tude pe chadar shagufta se phulon ki thi

    aur bhi an-ginat KHak ke Dher the

    main ki kuchh bolna chahta tha magar

    us ne meri taraf kuchh tawajjoh na ki

    jaane kya baat thi

    phir sahar ho gai

    aur main ek goshe mein gum-sum yahi sochta rah gaya

    kis qadar jaan-faza hai yahan ki faza

    kyon na har roz aata rahun main yahan

    ek din is nagar mein hamesha hamesha ko aana hi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now