nazm
tumheñ mā'lūm hai
maiñ ne to 'arz-e-hāl meñ
pahle se likkhā thā
hamesha tum safar karnā
aur ik tum ho ki merī ik zarā sī baat par
nārāz ho ab tak
kahāñ ho tum
kahāñ hai raushnī jis se mirā chehra munavvar thā
kahāñ hai shaam jo muddat se merī dastaras meñ thī
kahāñ haiñ dhuul meñ lipTe
mahakte dhuup ke vo ḳhushnumā paañv
jo anjāne safar meñ
jab mirī dahlīz ko chhūte
to maiñ fart-e-masarrat se
nadī ke aa.ine meñ ek dekhe 'aks ko hī
āsmāñ kā devtā kahtā
kahāñ hai rāh-e-bastī kā vo naqqārā
vo ik āvāz vo ik jal-tarang
jo dil se Takrā kar
havā ko zindagī dete hue phūloñ ko chhū kar
chāhne vāloñ ko ye paiġhām detī thī
mohabbat kā ye hāsil hai
hamesha tum safar karnā
aur ik aisā safar karnā
na jis kī samt ho koī
na koī raah tā-manzil
tumheñ mā'lūm hai
maiñ ne to 'arz-e-hāl meñ
pahle se likkhā thā
magar tum to havā aur kohr ke aivān meñ nārāz baiThe ho
palaT aao ki jīvan kī añdherī raat kā tanhā safar
kaaTe nahīñ kaTtā
tumhein ma'lum hai
main ne to 'arz-e-haal mein
pahle se likkha tha
hamesha tum safar karna
aur ek tum ho ki meri ek zara si baat par
naraaz ho ab tak
kahan ho tum
kahan hai raushni jis se mera chehra munawwar tha
kahan hai sham jo muddat se meri dastaras mein thi
kahan hain dhul mein lipTe
mahakte dhup ke wo KHushnuma panw
jo anjaane safar mein
jab meri dahliz ko chhute
to main fart-e-masarrat se
nadi ke aaine mein ek dekhe 'aks ko hi
aasman ka dewta kahta
kahan hai rah-e-basti ka wo naqqara
wo ek aawaz wo ek jal-tarang
jo dil se Takra kar
hawa ko zindagi dete hue phulon ko chhu kar
chahne walon ko ye paigham deti thi
mohabbat ka ye hasil hai
hamesha tum safar karna
aur ek aisa safar karna
na jis ki samt ho koi
na koi rah ta-manzil
tumhein ma'lum hai
main ne to 'arz-e-haal mein
pahle se likkha tha
magar tum to hawa aur kohr ke aiwan mein naraaz baiThe ho
palaT aao ki jiwan ki andheri raat ka tanha safar
kaTe nahin kaTta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.