Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazrana-e-KHulus

Saghar Mehdi

nazrana-e-KHulus

Saghar Mehdi

MORE BYSaghar Mehdi

    Interesting Fact

    (ایک شاعر دوست کی شادی پر)

    raat shāḳh pe khilte hue tāroñ ke gulāb

    nik.hat-o-nūr manzil pata dete haiñ

    saaz betāb hai mizrāb jumbish ke liye

    giit raqqāsa-e-hastī ko sadā dete haiñ

    jis āvāz meñ fardā khanak shāmil hai

    ik ubharte hue sūraj chamak shāmil hai

    jis tābish se shuāoñ phuvāreñ phūTīñ

    jis se pur-haul añdheroñ jigar kaañp uThe

    phuul tarah subuk teġh mānind girāñ

    jis ke ehsās se zulmat sipar kaañp uThe

    jis ke saa.e meñ umīdoñ ko javāñ honā hai

    rif.at-e-ishq ko sarmāya-e-jāñ honā hai

    zindagī Thos haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ

    phir bhī ik umr banī rahtī hai dīvāne ḳhvāb

    in haqā.eq ko bhalā kaun bhulā saktā hai

    saḳht hālāt ke tapte hue vīrāne ḳhvāb

    bistar-e-maḳhmal-o-sanjāb bhī yaad aatā hai

    ġham-o-ālām zahrāb bhī yaad aatā hai

    ye mahakte hue gajre ye lahakte hue phuul

    in pe mustaqbil-e-zarrīñ gumāñ hai ki nahīñ

    ek ehsās-e-bashar ke liye ḳhushbu-e-visāl

    laakh nāzuk ho magar bār-e-garāñ hai ki nahīñ

    jazba-e-soz-e-darūñ aaj giraftār huā

    ek shā.ir junūñ aaj giraftār huā

    raat ki shaKH pe khilte hue taron ke gulab

    nikhat-o-nur ki manzil ka pata dete hain

    saz betab hai mizrab ki jumbish ke liye

    git raqqasa-e-hasti ko sada dete hain

    jis ki aawaz mein farda ki khanak shamil hai

    ek ubharte hue suraj ki chamak shamil hai

    jis ki tabish se shuaon ki phuwaren phuTin

    jis se pur-haul andheron ka jigar kanp uThe

    phul ki tarah subuk tegh ki manind giran

    jis ke ehsas se zulmat ki sipar kanp uThe

    jis ke sae mein umidon ko jawan hona hai

    rifat-e-ishq ko sarmaya-e-jaan hona hai

    zindagi Thos haqiqat hai koi KHwab nahin

    phir bhi ek umr bani rahti hai diwane ka KHwab

    in haqaeq ko bhala kaun bhula sakta hai

    saKHt haalat ke tapte hue virane ka KHwab

    bistar-e-maKHmal-o-sanjab bhi yaad aata hai

    gham-o-alam ka zahrab bhi yaad aata hai

    ye mahakte hue gajre ye lahakte hue phul

    in pe mustaqbil-e-zarrin ka guman hai ki nahin

    ek ehsas-e-bashar ke liye KHushbu-e-visal

    lakh nazuk ho magar bar-e-garan hai ki nahin

    jazba-e-soz-e-darun aaj giraftar hua

    ek shair ka junun aaj giraftar hua

    Source:

    Deewanjali (Pg. 88)

    • Author: Saghar Mehdi
      • Publisher: Prem Printing Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now